ColLeEcT By
ALI
ImRaN QADRI
PoEt
PEER NASEER O DEEN NASEER GULRRVI
.
.
.
Tu Agr Rakhe Ga Saqi Hum Se Pemana Alag
Hum Bana Le Ge Kahen Chota Sa Mekhana Alag
Is Ki Abadi Alag Hai Is Ka Werana Alag
Door Is Dunia Se Rehta Hai Diwana Alag
Meh Kashi K Sath Lutf E Raqs E Pemana Alag
Aur Us Par Iltfaat E Peer E Mekhana Alag
Khal E Rukh Dil Ki Girftari Ka Samaan Hai
Be Khabr Hota Nahi Hai Daam Se Daana Alag
Ik Muqaam Aisa K Jeet E G Guzr Mumkin Nahin
Zindagi Taj Kar Bnaya Hum Ne Kaashana Alag
Khod Numai Us Ki Fitrat Be Niazi Is Ki Khoo
Rang E Shahaana Juda Shaan E Fiqeerana Alag
Gul Khilaye Fasl E Gul Aate Hi Diwano Ne Youn
Ab Nazar Aata Nahin Gulshan Se Weraana Alag
Aanswoon Se Likh Rahe Hain Waqyat E Zindagi
Hum Martab Kar Rahe Hai Apna Afsana Alag
Tere Sadqe Ab Nahi Saqi Muje Koi Gila
Muj Ko Mil Jati Hai Meh Peneen Ko Rozana Alag
Khak Parwane Ki Saari Shab Rahi Us K Huzor
Shamah Se Rehta Nahin Jal Kar B Parwana Alag
Mekade Mai Hum Hain Apne Har Nafas Main Moj E Meh
Ab Na Shesha Hai Juda Hum Se Na Pemana Alag
Zahdoon Kn Baadah Ashamoon Pe Mat Kijye Qayas
Wazeh Taqwa Aur She Andaz E Rindana Alag
P Raha Hoon Shaad Hoon Sarshaar Hoon
Dil Lagi Meh Se Alag Saqi Se Yarana Alag
Mekade Main Ab B Itni Saqh Hai Apni Naseer
Ik Humare Nam Ka Rehta Hai Pemana Alag
And
TyEpNg DaTe
26/12/12
BOOK NAME
PAIMANA E SHAB
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya