*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
AFTAB AKBAR
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Maraz yeh aam ho chala hai ab...!<
+
Hum hamesha durust hotay hain...!<
+
Har kharabi hai yahan logon mein...!<
+
Hum sahih hain, durust hotay hain...!<
+
Hamein logon se bas shikayat hai...!<
+
Log aksar durust hotay hain...!<
+
Hum bohat sakht jaanch karte hain...!<
+
Go ravayye durust hotay hain...!<
+
Ghalat maienay bana K suntay hain...!<
+
Lafz bilkul durust hotay hain...!<
+
Baat hi jab na hum samajh payen...!<
+
Mashwaray kab durust hotay hain...!<
+
Peechay jatay hain hum sarabon K...!<
+
Paas raste durust hotay hain...!<
+
Jab hawalay hon chaand taron K...!<
+
Waday phir kab durust hotay hain...!<
+
Sab ki niyat mein khlal hum dhunden...!<
+
So hum tanha durust hotay hain...!<
+
Khud pay umeed phir B qaim hai...!<
+
Dekhen ab kab durust hotay hain...!<
+
khaki.G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya