*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
AFTAB AKBAR
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Tu mohabbat nahi tha aadat tha
+
Teri aadat badal chuka hon mein
++
Adaten yun B buri hoti hain
+
Buri aadat badal chuka hon mein
++
Teri sochon mein dooba rehta tha
+
Ab wo sochen badal chuka hon mein
++
Kabhi ankhen jo jeena marna theen
+
Ab wo ankhen badal chuka hon mein
++
Kabhi tum thay K bas numaya thay
+
Ab wo mehfil badal chuka hon mein
++
Tum musafir thay ghair manzil K
+
Soo wo raste badal chuka hon mein
++
Sath reh K khushi jo bhola tha
+
Ab mein khush hon badal chuka hon mein
++
Yaad aao, to aa na pao gay
+
Khud ko itna badal chuka hon mein
++
Chahay ab koi baawafa samjhay
+
Sab wafayen badal chuka hon mein
++
Ab wo aadat nahi mohabbat hai
+
Tum se jis ko badal chuka hon mein
++
Khaki.G
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya