Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday, 13 August 2016

Dewaren choti hoti theen lekin parda hota tha (Azhar Faragh)

P@ET
Azhar Faragh
+
TEXT BY
IMRAN KHAKI
+
Dewaren choti hoti theen lekin parda hota tha.
+
Taley ki ijaad se pehlay sirf bhrosa hota tha.
+
Kabhi kabhi aati thi pehlay wasal ki lazat andar tak.
+
Barish tirchi parti thi to kamra geela hota tha.
+
Shukar karo tum is basti mein bhi school khula' warna.
+
Mar jane ke baad kisi ka sapna poora hota tha.
+
Jab tak maatha choom ke rukhsat karne wali zindah thi.
+
Darwazay se bahar tak bhi munh mein luqmah hota tha.
+
Bhalay zamane thay jab shair sahoolat se ho jatay thay.
+
Naye sukhan K naam pay azhar! Meer ka charcha hota tha.
+
Khaki.G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya