Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Wednesday, 31 August 2016

Hairaton K silsile soz-e-nihan tak aa gaye By Qabil Ajmeri

::::::::::::::::::::::
PO@t
Qabil Ajmeri
:::::::::::::::::::::::
TEXT BY
IMRAN KHAKI
:::::::::::::::::::::::
Hairaton K silsile soz-e-nihan tak aa gaye…!<
+
Hum nazar tak chahate the tum to jan tak aa gaye…!<
+
Na,Muradi apni qismat gumrahi apana nasib…!<
+
Karavan ki khair ho hum karavan tak aa gaye…!<
+
Un ke palkon par sitare apne honton pe hansi…!<
+
Qissa-e-gam kahate kahate hum kahan tak aa gaye…!<
+
Apni apni justaju hai apana apana shauq hai…!<
+
Tum hansi tak bhi na pahunche hum fugan tak aa gaye…!<
+
Zulf mein khushbu na thi ya rang aariz mein na tha…!<
+
Aap kis ke aarzoo mein gulistan tak aa gaye…!<
+
Rafta rafta rang laya jazba-e-khamoshi-e-ishq…!<
+
Wo tagaful karte karte imtihan tak aa gaye…!<
+
Khud tumhen chak-e-gireban ka shaur aa jaye ga…!<
+
Tum wahan tak aa to jao hum jahan tak aa gaye…!<
+
Aaj ‘qabil’ maikade mein inqalab aane ko hai…!<
+
Ahal-e-dil andesha-e-sud-o-ziyan tak aa gaye…!<
+
Khaki.G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya