Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday 26 May 2012

Ab kya Phr Eid Ka Din Aa Puhncha hai Neelay Akash Pe nikla hai abhi eid ka chand Bakhat Waloon ke Liye Eid Ka Sandes Liye

Eid ka chand
'*'
Ab kya Phr Eid Ka Din Aa Puhncha hai...!<
'*'
Neelay Akash Pe nikla hai abhi eid ka chand...!<
'*'
Bakhat Waloon ke Liye Eid Ka Sandes Liye...!<
'*'
bhujti ankhoon ke liye deed ka sandes liye...!<
'*'
Saray chehroon se thakan door hoi jati hai...!<
'*'
hijer waloon ki chuban door hoi jati hai...!<
'*'
chand nikla hai shab-e-wasl ka sandes liye...!<
'*'
kehkashan bakhat musafir ke paltnay ki naveed...!<
'*'
her Kiran hath main thamay ayee...!<
'*'
Chand nikla hai...!<
'*'
mager hasrat se...!<
'*'
Chand ki simat meri ankhien taki jati hain...!<
'*'
chand akash se takta hai mager...Ankh chura laita hai...!<
'*'
meri ankhoon ki nami aur sawaloon ki chuban...!<
'*'
us se dekhi nahi jati shayad...!<
'*'
meri go-yaee maira sath nahi de pati...!<
'*'
ke main us se teri babat pochoon...!<
'*'
Us se pochoon ke bata mairay muqadar ke najoom...!<
'*'
Kin andheeroon main hoye toot ke reeza reeza...!<
'*'
Chand Ankhoon Ko chura Ker mujhe se...!<
'*'
Janne kion tall raha hai yeah sawal...!<
'*'
kia mairay bakhat main ab ke bhi nahi...!<
'*'
Eid Ka Lamha....Wasaal......!<
'*'
Kiya Palat ker nahi aye ga wo jannay wala...!<
'*'
Kia Meri Eid Faqat Ab ke bhi...!<
'*'
ik Aur naya din ho gi...!<
'*'
din bhi aisa jo Qayamat Sa ghuzarta hai sada...!<
'*'
Durd ke rang meri ankhoon main jo bharta hai Sada...!<
'*'
ba-kali, durd, jalan, aur sulagti Yadien...!<
'*'
Durd ko aur jaga detien hain...!<
'*'
Karab ko aur bharha detien hain...!<
'*'
Meri be-rang hatheeli pe Dua ki titli...!<
'*'
Akhri Saans ki hud per puhnchi...!<
'*'
Meri umeed ke saray jugnu...!<
'*'
bhujti ankhoon main bhujhay jatay hain...!<
'*'
Hont hansnay ke huner se Aari...!<
'*'
Dil dharknay ki Riwayat Se Juda...!<
'*'
Ankh se khawab alag...!<
'*'
mar gaye harf-e-dua...!<
'*'
toti sansoon ke hontoon per...!<
'*'
Faqat Sard See ...Aaah...!<
'*'
Dobtay dil se bikherti See Sada.......!<
'*'
Moyasar jin ko apnay doston ki deed hoti hay...!<
'*'
Jo sach poocho to duniya main unhi ki Eid hoti hay...!<
'*'
Kitni palkon say fizaon main sitaray tootay...!<
'*'
Kitnay afsanon ka unwan bana Eid ka chand...!<
'*'
Chand jab aaya nazar uss bam par...!<
'*'
Rashk aaya apni her ikk sham par...!<
'*'
Eid ka din hay galay aaj to mil lay zaalim...!<
'*'
Rasm-e-duniya bhi hay, maoqa bhi hay dastoor bhi hay...!<
'*'
Yeh Eid kay pakwan ka kuch aisa asar hay...!<
'*'
Mehboob ki zulfain bhi lagti hain sawayan

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya