Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday 25 May 2012

Saqi Nama

Po@t Sir Dr Allama Iqbal
 TANHA_KHAKI
Book=Bal_e_Jibril
<.....>Saqi Nama<.....>
'*'
Huwa akhaimazan karwan_e_bahar...!<
'*'
Iram ban gya daman-e-kohsar...!<
'*'
Gul_o_nargis_o_sosan-o-nastran...!<
'*'
Shaheed_e_azal lalah khooni kafan...!<
'*'
Jahan chup gya parda'ay rang mein...!<
'*'
Lahoo ki hy gardish rag_e_sang mein...!<
'*'
Faza neeli neeli, hawa mein suroor...!<
'*'
Thehar nahin Aashiyan mein tayoor...!<
'*'
Woh jooay kohstan uchakti huwi...!<
'*'
Atakti, lachakti, sirakti huwi...!<
'*'
Uchalti, phisalti, sanbhalti huwi...!<
'*'
Bare paich kha kar niklti huwi...!<
'*'
Ruke jab to sil cheer deti hy ye...!<
'*'
Paharon K dil cheer deti hy ye...!<
'*'
Zara dekh Ae saqi_e_lalah faam!...!<
'*'
Sunati hy ye zindagi ka payam...!<
'*'
Pila de mujhe wo mai_e_parda soz...!<
'*'
K Ati nahin fasal_e_gul roz roz...!<
'*'
Wo mai jis se roshan zameer-e-hayat...!<
'*'
Wo mai jis se hy masti-e-kainat...!<
'*'
Wo mai jis mein hai soz-o-saz-e-azal...!<
'*'
Wo mai jis se khulta hy raaz-e-azal...!<
'*'
Utha saqiya parda is raaz se...!<
'*'
Lara de mamoole ko shahbaz se...!<
'*'
Zamane K andaz badle gye...!<
'*'
Naya raag hy, saaz badle gye...!<
'*'
Huwa is tarah fash raaz-e-farang...!<
'*'
K hairat mein hy sheesha baaz-e-farang...!<
'*'
Purani siasat gari khwaar...!<
'*'
Zameen mir-e-sultan se baizar hy...!<
'*'
Gya do-e-sarmaya dari, gya...!<
'*'
Tamasha dikha kar madari gya...!<
'*'
Garan khawab cheeni sanbhalne lage...!<
'*'
Hamala K chashme ubalne lage...!<
'*'
Dil-e-toor_e_seena-o-faran do neem...!<
'*'
Tajalli ka phir muntazir hy Kaleem...!<
'*'
Musalman hy touheed mein garam josh...!<
'*'
Magar dil abhi tak hy zunnar posh...!<
'*'
Tamadan, tasawwuf, shariat, kalam...!<
'*'
Butan-e-ajam K poojari tamam!...!<
'*'
Haqiqat khurafat mein kho gyi...!<
'*'
Ye ummat rawayat mein kho gyi...!<
'*'
Lau bhata hy dil ko kalam-e-khateb...!<
'*'
Magar lazzat-e-shauq se be'naseeb!...!<
'*'
Byan is ka mantaq se suljha huwa...!<
'*'
Lau ghat K bakheron mein uljha huwa...!<
'*'
Wo sufi K tha khidmat-e-haq mein mard...!<
'*'
Mohabbat mein yakta, hamiyyat mein fard...!<
'*'
Ajam K khayalat mein kho gya...!<
'*'
Ye salik maqamat mein kho gya...!<
'*'
Bujhi ishq ki Aag, andhair hy...!<
'*'
Musalman nahin, raakh ka dhair hy...!<
'*'
Sharab-e-kuhan phir pila saqiya...!<
'*'
Wohi jaam gardish mein la saqiya!...!<
'*'
Muhe ishq K par laga kar ura...!<
'*'
Meri khaak jugnu bana kar ura...!<
'*'
Khirad ko ghulami se azad kar...!<
'*'
Jawanon ko peeron ka ustad kar...!<
'*'
Har shakh-e-millat tere nam se hy...!<
'*'
Nafs is badan mein tere dam se hy...!<
'*'
Tarapne pharakne ki toufeeq de...!<
'*'
Dil-e-Murtaza(R.A.), souz-e-Siddique(R.A.) de...!<
'*'
Jigar se wohi teer phir paar kar...!<
'*'
Tamana ko seenon mein baidar kar...!<
'*'
Tere asmanon K taron ki khair...!<
'*'
Zamenon K shab zinda daron ki khair...!<
'*'
Jawanon ko soz-e-jigar bakhs de...!<
'*'
Mera ishq, meri nazar bakhs de...!<
'*'
Meri nao girdaab se paar kar...!<
'*'
Ye sabat hy tu is ko syyar ar...!<
'*'
Bata mujh ko asrar-e-marg-o-hayat...!<
'*'
K teri nigahon mein hy kainat...!<
'*'
Mere didah-e-tar ki be'khawabiyan...!<
'*'
Mere dil ki poshida be'tabiyan...!<
'*'
Mere nala-e-neem shab ka niaz...!<
'*'
Meri khalwat-o-anjuman ka gudaz...!<
'*'
Umangain meri, arzoo'ain meri...!<
'*'
Umeedain meri, justujoo'ain meri...!<
'*'
Meri fitrat Aayna-e-rozgaar...!<
'*'
Gazaalan-e-afkaar ka marghzaar...!<
'*'
Mera dil, meri razm gah-e-hayat...!<
'*'
Gamanon K lashkar, yaqeen ka sabaat...!<
'*'
Yehi kuch hy saqi mataa-e-faqeer...!<
'*'
Issi se faqeeri mein hun main ameer...!<
'*'
Mere kafle mein luta de isse...!<
'*'
Luta de, thikane laga de isse!...!<
'*'
Damadam rawan hy yam-e-zindagi...!<
'*'
Har ek shay se paida ram_e_zindagi...!<
'*'
Issi se huwi hy badan ki namood...!<
'*'
K shaole mein poshida hy mouj-e-dood...!<
'*'
Garan gharche hy sohbat aab-o-gil...!<
'*'
Khush ayi is se mehnat Aab-o-gil...!<
'*'
Ye sabit B hy aur sayyar B...!<
'*'
Anasir K phandon se baizar B...!<
'*'
Ye wahdat hy kasrat mein har dam aseer...!<
'*'
Magar har kahin be chugun, benazir...!<
'*'
Ye alam, ye butkhana-e-shas jihaat...!<
'*'
Issi ne tarasha hy ye somnaat...!<
'*'
Pasand is ko takrar ki khoo nahin...!<
'*'
K tu main nahin, aur main tu nahin...!<
'*'
Main-o-tu se hy anjuman afreen...!<
'*'
Magar ayn-e-mehfil mein khalwat nasheen...!<
'*'
Chamak is ki bijli mein, tare mein hy...!<
'*'
Ye chandi mein, sone mein, paare mein hy...!<
'*'
Issi K bayabaan, issi K babool...!<
'*'
Issi K hain kante, issi K hain phool...!<
'*'
Kahin is ki taqat se kohsaar choor...!<
'*'
Kahin is K phande mein jibreel-o-hoor...!<
'*'
Kahin jurrah shaheen-e-seemab rang...!<
'*'
Lahoo se chakoron K aluda chang...!<
'*'
Kabutar kahin ashiyane se door...!<
'*'
Pharakta huwa jaal mein na-saboor...!<
'*'
Faraib-e-nazar hy sakoon-o-sabaat...!<
'*'
Tarapta hy har zarra-e-kainat...!<
'*'
Theharta nahin karwaan-e-wujood...!<
'*'
K har lehza hy taza shaan-e-wujood...!<
'*'
Samjhta hy tu raaz hy zindagi...!<
'*'
Faqat zauq-e-parwaaz hy zindagi...!<
'*'
Bohat is ne dekhe hain past-o-buland...!<
'*'
Safar is ko manzil se barh kar pasand...!<
'*'
Safar zindagi K liye barg-o-saaz...!<
'*'
Safar hy haqiqat, hazar hy majaaz...!<
'*'
Ulajh kar sulajhne mein lazzat isse...!<
'*'
Tarapne pharakne mein rahat isse...!<
'*'
Huwa jab isse samna mout ka...!<
'*'
Kathan tha bara thaamna mout ka...!<
'*'
Uter kar jahan-e-makafat mein...!<
'*'
Rahi zindagi mout Ki ghaat mein...!<
'*'
Mazaq-e-dooi se bani zouj zouj...!<
'*'
Uthi dast-o-kohsaar se fouj fouj...!<
'*'
Gul is shakh se tootte B rahe...!<
'*'
Issi shakh se phootte B rahe...!<
'*'
Samajhe hain nadan is say be'sabaat...!<
'*'
Ubharta hy mit mit K naqsh-e-hayat...!<
'*'
Bari taiz jolan, bari zood ras...!<
'*'
Azal se abad tak pam-e-yak nafas...!<
'*'
Zamana ki zanjeer-e-ayyam hy...!<
'*'
Damon K ulat phair ka naam hy...!<
'*'
Ye mouj-e-nafs kya hy talwar hy...!<
'*'
Khudi kya hy, talwaar ki dhaar hy...!<
'*'
Khudi kya hy, raaz-e-daroon-e-hayat...!<
'*'
Khudi kya hy, baidari-e-kainat...!<
'*'
Khudi jalwa badmast-o-Khilwat pasand...!<
'*'
Samundar hy ek boond pani mein band...!<
'*'
Andhere ujale mein hy taabnaak...!<
'*'
Main-o-tu mein paida,main-o-tu se paak...!<
'*'
Azal is K peeche, abad samne...!<
'*'
Na had is K peeche. Na had samne...!<
'*'
Zamane K darya mein behti huwi...!<
'*'
Sitam is ki moujon K sehti huwi...!<
'*'
Tajasus ki rahain badalti huwi...!<
'*'
Damadam nigahain badalti huwi...!<
'*'
Subak is K hathon mein sang-e-garan...!<
'*'
Pahar is ki zarbon se raig-e-rawan...!<
'*'
Safar is ka anjaam-o-aghaz hy...!<
'*'
Yehi is ki taqweem ka raaz hy...!<
'*'
Kiran chand mein hy, sharr sang mein...!<
'*'
Ye berang hy doob kar rang mein...!<
'*'
Isse wasta kya kam-o-baish se...!<
'*'
Nashaib-o-faraz-o-pas-o-paish se...!<
'*'
Azal se hy ye kashmakash mein aseer...!<
'*'
Huwi khaak-a-adam mein soorat pazeer...!<
'*'
Khudi ka nasheman tere dil mein hy...!<
'*'
Falak jis tarah Aankh K til mein hy...!<
'*'
Khudi ki nigheban ko hy zehr-e-naab...!<
'*'
Wo naa jis se jati rahe is ki Aab...!<
'*'
Wohi naa hy is K liye arzumand...!<
'*'
Rahe jis se dunya mein gardan buland...!<
'*'
Firo faal-e-mehmood se darguzar...!<
'*'
Khudi ko nigah rakh, ayazi na kar...!<
'*'
Wohi sajda hy laaeq-e-ehtamam...!<
'*'
K ho jis se har sajda tujh par haraam...!<
'*'
Ye alam, ye hangama-e-rang-o-soot...!<
'*'
Ye alam ke hy zair-e-farmaan-e-mout...!<
'*'
Ye alam, ye butkhana-e-chasm-o-gosh...!<
'*'
Jahan zindagi hy faqat khurad-o-nosh...!<
'*'
Khudi ki ye hy manzil-e-awaleen...!<
'*'
Musafir ! Ye tera nasheman nahin...!<
'*'
Teri Aag is khaakdaan se nahin...!<
'*'
Jahan tujh se hy, tu jahan se nahin...!<
'*'
Barhe ja ye koh-e-giran torh kar...!<
'*'
Tilism-e-zaman-o-makan torh Kar...!<
'*'
Khudi sher-e-mola, jahan is ka sayd...!<
'*'
Zameen is ki sayd, asman is ka sayd...!<
'*'
Jahan aur B hain abhi be-namood...!<
'*'
K khali nahin hy zameer-e-wujood...!<
'*'
Har ek muntazir teri yalghaar ka...!<
'*'
Teri shoukhi-e-fikr-o-kirdaar ka...!<
'*'
Ye hy maqsad-e-gardish-e-rozgaar...!<
'*'
K teri khudi tujh pe ho ashkaar...!<
'*'
Tu hy faateh-e-alam-e-khoob-o-zisht...!<
'*'
Tujhe kya bataon teri sarnawisht...!<
'*'
Haqiqat pe hy jama-e-harf tang...!<
'*'
Haqiqat hy ayna, guftaar zang...!<
'*'
Farozan hy sine mein shama-e-nafs...!<
'*'
Magar taab-e-guftaar kehti hy, bas...!<
'*'
Agar yak sir-e-muay bartar param...!<
'*'
Farogh-e-tajali basozd param...!<
'*'
~~>END<~~

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya