Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday 26 May 2012

Shama Aur Shayar Dosh Mee Gutam Ba Shama-e-Manzil-e-Weeran-e-Khowesh

Shama Aur Shayar
(Feb 1912)
TANHA_KHAKI
Po@t Dr Aallama Iqbal
<...>Shayar<...>
'*'
Dosh Mee Gutam Ba Shama-e-Manzil-e-Weeran-e-Khowesh...!<
'*'
Gaisuay Tu Azpar-e-Parwana Dar Dashana Ae...!<
'*'
Dar Jahan Misl-e-Charagh-e-Lala-e-Sehrastam...!<
'*'
Ne Naseeb-e-Mehfile, Ne Qismat-e-Kashana Ae...!<
'*'
Madd Te Manind-e-Tou Man Hum Nafas Mee Soukhtam...!<
'*'
Dar Tawaf-e-Shaula Am Baale Na Zad Parwana Ae...!<
'*'
Mee Tapad Sad Jalwa-e-Dar Jaan-e-Amal Far Sood-e-Mann...!<
'*'
Bar Namee Khaizd Azeen Mehfil Dil-e-Diwana Ae...!<
'*'
Az Kuja Aen Aatish-e-Alam Faroz Andokhti...!<
'*'
Kirmak-e-Be Maya Ra Souz-e-Kaleem Amoskhti...!<
'*'
<...>Shama<...>
'*'
Mujh Ko Mouj-e-Nafas Deti Hai Paigham-e-Ajal...!<
'*'
Lab Issi Mouj-e-Nafas Se Hai Nawa Paira Tera...!<
'*'
Mein To Jalti Hun Ke Hai Muzmir Meri Fitrat Mein Souz...!<
'*'
Tu Firouzan Hai Ke Parwanon Ko Ho Soda Tera...!<
'*'
Girya Saman Main Ke Mere Dil Mein Hai Toofan-e-Ashak...!<
'*'
Shabnam Afshan Tu Ke Bazm-e-Gul Mein Ho Charcha Tera...!<
'*'
Gul Ba Daman Hai Meri Shab Ke Lahoo Se Meri Subah...!<
'*'
Hai Tere Amroz Se Na-Ashna Farda Tera...!<
'*'
Yun To Roshan Hai Magar Souz-e-Darun Rakhta Nahin...!<
'*'
Shaola  Hai Misl-e-Charagh-e-Lala-e-Sehra Tera...!<
'*'
Soch To Dil Mein, Laqab Saqi Ka Hai Zaiba Tujhe?...!<
'*'
Anjuman Pyasi Hai Aur Pemana Be-Sehba Tera!...!<
'*'
Aur Hai Tera Shua'ar, Aaeene-e-Millat Aur Hai...!<
'*'
Zisht Ruyi Se Teri Aaeena Hai Ruswa Tera...!<
'*'
Kaaba Pehlu Mein Hai Aur Soudai-e-Butkhana Hai...!<
'*'
Kis Qadar Shourida Sar Hai Shauq-e-Be-Parwa Tera...!<
'*'
Qais Paida Hon Teri Mehfil Mein, Ye Mumkin Nahin...!<
'*'
Tang Hai Sehra Tera, Mehmil Hai Be-Laila Tera...!<
'*'
Ae Dur-e-Tabinda, Ae Parwardah-e-Aghosh-e-Mouj!...!<
'*'
Lazzat-e-Toofan Se Hai Na-Ashna Darya Tera...!<
'*'
Ab Nawa Paira Hai Kya, Gulshan Huwa Barham Tera...!<
'*'
Be-Mehel Tera Taranum, Naghma Be-Mousam Tera...!<
'*'
Tha Jinhain Zauq-e-Tamasha, Woh To Rukhsat Ho Gye...!<
'*'
Le Ke Ab Tu Wada-e-Didar-e-Aam Aya To Kya...!<
'*'
Anjuman Se Woh Purane Shaola Aasham Uth Gye...!<
'*'
Saqiya! Mehfil Mein Tu Aatish Bajaam Aaya To Kya...!<
'*'
Aah, Jab Gulshan Ki Jamiat Preshan Ho Chukki...!<
'*'
Phool Ko Baad-e-Bahari Ka Payam Aya To Kya...!<
'*'
Akhir-e-Shab Deeb Ke Qabil Thi Bismil Ki Tarap...!<
'*'
Subahdam Koi Agar Balaye Baam Aya To Kya...!<
'*'
Bujh Gya Woh Shaola Jo Maqsood-e-Har Parwana Tha...!<
'*'
Ab Koi Soudai-e-Souz-e-Tamam Aya To Kya...!<
'*'
Phool Be-Parwa Hain, Tu Garam-e-Nawa Ho Ya Na Ho...!<
'*'
Karwan Be-Hiss Hai, Awaz-e-Dra Ho Ya Na Ho...!<
'*'
Shama-e-Mehfil Ho Ke Tu Jab Souz Se Khali Raha...!<
'*'
Tere Parwane Bhi Iss Lazzat Se Baigane Rahe...!<
'*'
Rishta-e-Ulfat Mein Jab In Ko Pero Sakta Tha Tu...!<
'*'
Phir Preshan Kyun Teri Tasbeeh Ke Dane Rahe...!<
'*'
Shauq-e-Beparwa Gya, Fikr-e-Falak Pema Gya...!<
'*'
Teri Mehfil Main Na Diwane Na Farzane Rahe...!<
'*'
Khair, Tu Saqi Sahi Lekin Pilaye Ga Kise...!<
'*'
Ab Na Woh Mai-Kash Rahe Baqi Na Maikhane Rahe...!<
'*'
Ro Rahi Hai Aaj Ek Tooti Huwi Meena Usse...!<
'*'
Kal Talak Gardish Mein Jis Saqi Ke Paimane Rahe...!<
'*'
Aaj Hain Khamosh Woh Dasht-e-Junoon Parwar Jahan...!<
'*'
Raqs Mein Laila Rahi, Laila Ke Diwane Rahe...!<
'*'
Waye Nakami! Mataa-e-Karwan Jata Raha...!<
'*'
Karwan Ke Dil Se Ehsas-e-Ziyan Jata Raha...!<
'*'
Jin Ke Hangamon Se The Aabad Weerane Kabhi...!<
'*'
Sheher Un Ke Mit Gaye Abadiyan Ban Ho Gaeen...!<
'*'
Siwat-e-Touheed Qayam Jin Namazon Se Huwi...!<
'*'
Woh Namazain Hund Mein Nazar-e-Barhman Ho Gaeen...!<
'*'
Dehr Mein Aysh-e-Dawam Aaeen Ki Pabandi Se Ha...!<
'*'
Mouj Ko Azadiyan Saman-e-Shewan Ho Gaeen...!<
'*'
Khud Tajalli Ko Tamanna Jin Ke Nazaron Ki Thi...!<
'*'
Woh Nigahain Na-Umeed-e-Noor-e-Ayman Ho Gayen...!<
'*'
Urti Phirti Theen Hazaron Bulbulain Gulzar Mein...!<
'*'
Dil Mein Kya Ayi Ke Paband-e-Nasheman Ho Gaeen...!<
'*'
Wusaat-e-Gardoon Mein Thi Un Ki Tarap Nazara Souz...!<
'*'
Bijliyan Aasuda-e-Damaan-e-Khirman Ho Gaeen...!<
'*'
Didah-e-Khunbar Ho Minnat Kash-e-Gulzar Kyun...!<
'*'
Ashak-e-Peham Se Nigahain Gul Ba Daman Ho Gaeen...!<
'*'
Sham-e-Gham Lekin Khabar Detai Hai Subah-e-Eid Ki...!<
'*'
Zulmat-e-Shab Mein Nazar Ayi Kiran Umeed Ki...!<
'*'
Zinda Kar De Dil Ko Souz-e-Jouhar-e-Guftar Se...!<
'*'
Rahzan-e-Himmat Huwa Zauq-e-Tan Asani Tera...!<
'*'
Beher Tha Sehra Mein Tu, Gulshan Mein Misl-e-Joo Huwa...!<
'*'
Apni Asliyat Pe Qayam Tha To Jamiat Bhi Thi...!<
'*'
Chor Kar Gul Ko Preshan Karwaan-e-Boo Huwa...!<
'*'
Zindagi Qatre Ki Sikhlati Hai Asrar-e-Hayat...!<
'*'
Ye Kabhi Gohar, Kabhi Ansu Huwa...!<
'*'
Phir Kahin Se Iss Ko Paida Kar, Bari Doulat Hai Ye...!<
'*'
Zindagi Kaisi Jo Dil Begana-e-Pehlu Huwa...!<
'*'
Aabru Baqi Teri Millat Ki Jamiat Se Thi...!<
'*'
Jab Ye Jamiat Gyi, Dunya Mein Ruswa Tu Huwa...!<
'*'
Fard Qayam Rabt-e-Millat Se Hai, Tanha Kuch Nahin...!<
'*'
Mouj Hai Darya Mein Aur Bairun-e-Darya Kuch Nahin...!<
'*'
Parda-e-Dil Mein Mohabbat Ko Abhi Mastoor Rakh...!<
'*'
Yani Apni Mai Ko Ruswa Soorat-e-Meena Na Kar...!<
'*'
Muzda Ae Paimana Bardaar-e-Khumistan-e-Hijaz!...!<
'*'
Baad Muddat Ke Tere Rindon Ko Phir Aaya Hai Hosh...!<
'*'
Naqad-e-Khuddari Bahaye Badah-e-Aghyar Thi...!<
'*'
Phir Dukan Teri Hai Labraiz-e-Sadaye Nau Nosh...!<
'*'
Tootne Ko Hai Talism-e-Mah Seemayaan-e-Hind...!<
'*'
Phir Sulema Ko Nazar Deti Hai Pegham-e-Kharosh...!<
'*'
Phir Ye Ghogha Hai Ke La Saqi Sharab-e-Khana Saaz...!<
'*'
Dil Ke Hangame Mai-e-Maghrib Ne Kar Dale Khamosh...!<
'*'
Naghma Paira Ho Ke Ye Hangam-e-Khamoshi Nahin...!<
'*'
Hai Sehar Ka Asman Khursheed Se Meena Badosh...!<
'*'
Dar Gham-e-Deegar Basouz-o-Deegran Rahum Basouz...!<
'*'
Guftmat Roshan Hadisay Gar Touwani Daar Gosh!...!<
'*'
Keh Gye Hain Shayari Juzweest Az Peghambari...!<
'*'
Haan Suna De Mehfil-e-Millat Ko Pegham-e-Sarosh...!<
'*'
Ankh Ko Baidar Kar De Wadaa-e-Deedar Se...!<
'*'
Khema-Zan Ho Wadi-e-Seena Mein Manind-e-Kaleem...!<
'*'
Shaola-e-Tehqeeq Ko Gharatgar-e-Kashana Kar...!<
'*'
Shama Ko Bhi Ho Zara Maloom Anjam-e-Sitam...!<
'*'
Sarf-e-Tameer-e-Sehar Khakstar-e-Parwana Kar...!<
'*'
Tu Agar Khuddar Hai, Minnat Kash-e-Saqi Na Ho...!<
'*'
Ayn Darya Mein Habab Aasa Nigoon Pema Na Kar...!<
'*'
Kaifiat Baqi Purane Koh-o-Sehra Mein Nahin...!<
'*'
Hai Junoon Tera Naya, Paida Naya Weerana Kar...!<
'*'
Khak Mein Tujh Ko Muqaddar Ne Milya Hai Agar...!<
'*'
To Asa Uftaad Se Paida Misal-e-Dana Kar...!<
'*'
Haan, Issi Shakh-e-Kuhan Par Phir Bana Le Ashiyan...!<
'*'
Ahl-e-Gulshan Ko Shaheed-e-Naghma-e-Mastana Kar...!<
'*'
Iss Chaman Mein Pairwe Bulbul Ho Ya Talmeez-e-Gul...!<
'*'
Ya Sarapa Nala Ban Ja Ya Nawa Paida Na Kar...!<
'*'
Kyun Chaman Mein Be-Sada Misl-e-Ram-e-Shabnam Hai Tu...!<
'*'
Lab Kusha Ho Ja, Surood-e-Barbat-e-Alam Hai Tu...!<
'*'
Ashna Apni Haqiqat Se Ho Ae Dehqan Zara...!<
'*'
Dana Tu, Khaiti Bhi Tu, Baran Bhi Tu, Hasil Bhi Tu...!<
'*'
Aah, Kis Ki Justujoo Aawara Rakhti Hai Tujhe...!<
'*'
Rah Tu, Rahru Bhi Tu, Rahbar Bhi Tu, Manzil Bhi Tu...!<
'*'
Kanpta Hai Dil Tera Andesha-e-Toofan Se Kya...!<
'*'
Na-Khuda Tu, Beher Tu, Kashti Bhi Tu, Sahil Bhi Tu...!<
'*'
Dekh Aa Kar Kaucha-e-Chaak-e-Greban Mein Kabhi...!<
'*'
Qais Tu, Laila Bhi Tu, Sehra Bhi Tu, Mehmil Bhi Tu...!<
'*'
Waye Nadani Ke Tu Mouhtaj-e-Saqi Ho Gya...!<
'*'
Mai Bhi Tu, Meena Bhi Tu, Saqi Bhi Tu, Mehfil Bhi Tu...!<
'*'
Shaola Ban Kar Phoonk De Khashak-e-Ghair Allah Ko...!<
'*'
Khof-e-Batil Kya Ke Hai Gharatgar-e-Batil Bhi Tu...!<
'*'
Be-Khabar! Tu Jouhar-e-Aaeena-e-Ayyam Hai...!<
'*'
Tu Zamane Mein Khuda Ka Akhri Pegham Hai...!<
'*'
Khema-Zan Ho Wadi-e-Seena Mein Manind-e-Kaleem...!<
'*'
Shaola-e-Tehqeeq Ko Gharatgar-e-Kashana Kar...!<
'*'
Shama Ko Bhi Ho Zara Maloom Anjam-e-Sitam...!<
'*'
Sarf-e-Tameer-e-Sehar Khakstar-e-Parwana Kar...!<
'*'
Tu Agar Khuddar Hai, Minnat Kash-e-Saqi Na Ho...!<
'*'
Ayn Darya Mein Habab Aasa Nigoon Pema Na Kar...!<
'*'
Kaifiat Baqi Purane Koh-o-Sehra Mein Nahin...!<
'*'
Hai Junoon Tera Naya, Paida Naya Weerana Kar...!<
'*'
Khak Mein Tujh Ko Muqaddar Ne Milya Hai Agar...!<
'*'
To Asa Uftaad Se Paida Misal-e-Dana Kar...!<
'*'
Haan, Issi Shakh-e-Kuhan Par Phir Bana Le Ashiyan...!<
'*'
Ahl-e-Gulshan Ko Shaheed-e-Naghma-e-Mastana Kar...!<
'*'
Iss Chaman Mein Pairwe Bulbul Ho Ya Talmeez-e-Gul...!<
'*'
Ya Sarapa Nala Ban Ja Ya Nawa Paida Na Kar...!<
'*'
Kyun Chaman Mein Be-Sada Misl-e-Ram-e-Shabnam Hai Tu...!<
'*'
Lab Kusha Ho Ja, Surood-e-Barbat-e-Alam Hai Tu...!<
'*'
Ashna Apni Haqiqat Se Ho Ae Dehqan Zara...!<
'*'
Dana Tu, Khaiti Bhi Tu, Baran Bhi Tu, Hasil Bhi Tu...!<
'*'
Aah, Kis Ki Justujoo Aawara Rakhti Hai Tujhe...!<
'*'
Rah Tu, Rahru Bhi Tu, Rahbar Bhi Tu, Manzil Bhi Tu...!<
'*'
Kanpta Hai Dil Tera Andesha-e-Toofan Se Kya...!<
'*'
Na-Khuda Tu, Beher Tu, Kashti Bhi Tu, Sahil Bhi Tu...!<
'*'
Dekh Aa Kar Kaucha-e-Chaak-e-Greban Mein Kabhi...!<
'*'
Qais Tu, Laila Bhi Tu, Sehra Bhi Tu, Mehmil Bhi Tu...!<
'*'
Waye Nadani Ke Tu Mouhtaj-e-Saqi Ho Gya...!<
'*'
Mai Bhi Tu, Meena Bhi Tu, Saqi Bhi Tu, Mehfil Bhi Tu...!<
'*'
Shaola Ban Kar Phoonk De Khashak-e-Ghair Allah Ko...!<
'*'
Khof-e-Batil Kya Ke Hai Gharatgar-e-Batil Bhi Tu...!<
'*'
Be-Khabar! Tu Jouhar-e-Aaeena-e-Ayyam Hai...!<
'*'
Tu Zamane Mein Khuda Ka Akhri Pegham Hai...!<
'*'
Apni Asliyat Se Ho Agah Ae Ghafil Ke Tu...!<
'*'
Qatra Hai, Lekin Misal-e-Behr Be-Payan Bhi Hai...!<
'*'
Kyun Giraftar-e-Tilism-e-Haich Maqdari Hai Tu...!<
'*'
Dekh To Poushida Tujh Mein Shoukat-e-Toofan Bhi Hai...!<
'*'
Seena Hai Tera Amen Uss Ke Payam-e-Naaz Ka...!<
'*'
Jo Nazam-e-Dehr Mein Paida Bhi Hai, Pinhan Bhi Hai...!<
'*'
Haft Kishor Jis Se Ho Taskheer Be-Taigh-o-Tafnang...!<
'*'
Tu Agar Samjhe To Tere Paas Woh Saman Bhi Hai...!<
'*'
Ab Talak Shahid Hai Jis Par Koh-e-Faran Ka Sukoot...!<
'*'
Ae Taghafil Paisha! Tujh Ko Yaad Woh Paiman Bhi Hai?...!<
'*'
Tu Hi Nadaan Chand Kaliyon Par Qinaat Kar Gya...!<
'*'
Warna Gulshan Mein Alaj-e-Tangi-e-Damaan Bhi Hai...!<
'*'
Dil Ki Kaifiat Hai Paida Parda-e-Taqreer Mein...!<
'*'
Kiswat-e-Meena Mein Mai Mastoor Bhi, Uryan Bhi Hai...!<
'*'
Phoonk Dala Hai Meri Aatish-Nawayi Ne Mujhe...!<
'*'
Aur Meri Zindagaani Ka Yehi Samaan Bhi Hai...!<
'*'
Raaz Iss Aatish Nawai Ka Mere Seene Mein Dekh...!<
'*'
Jalwa-e-Taqdeer Mere Dil Ke Aaeene Mein Dekh!...!<
'*'
Aasman Ho Ga Sehar Ke Noor Se Aaeena Posh...!<
'*'
Aur Zulmat Raat Ki Seemab Pa Ho Jaye Gi...!<
'*'
Iss Qadar Ho Gi Tarannum Aafreen Baad-e-Bahar...!<
'*'
Nukhat-e-Khawabeeda Ghunche Ki Nawa Ho Jaye Gi...!<
'*'
Aa Milain Ge Seena Chakaan-e-Chaman Se Seena Chaak...!<
'*'
Bazm-e-Gul Ki Hum-Nafas Baad-e-Saba Ho Jaye Gi...!<
'*'
Shabnam Afshani Meri Paida Kare Gi Souz-o-Saaz...!<
'*'
Iss Chamanki Har Kali Dard Ashna Ho Jaye Gi...!<
'*'
Dekh Lo Ge Sitwat-e-Raftar-e-Darya Ka Ma'al...!<
'*'
Mouj-e-Muztar  Hi Isse Zanjeer Pa Ho Jaye Gi...!<
'*'
Phir Dilon Ko Yaad Aa Jaye Ga Paigham-e-Sujood...!<
'*'
Phir Jabeen Khak-e-Haram Se Aashna Ho Jaye Gi...!<
'*'
Nala-e-Sayyad Se Hon Ge Nawa Saman-e-Tayoor...!<
'*'
Khoon-e-Gulcheen Se Kali Rangeen Qaba Ho Jaye Gi...!<
'*'
Ankh Jo Kuch Dekhti Hai, Lab Pe Aa Sakta Nahin...!<
'*'
Mehw-e-Hairat Hun Ke Dunya Kya Se Kya Ho Jaye Gi...!<
'*'
Shab Gurezan Ho Gi Akhir Jalwa-e-Khursheed Se...!<
'*'
Ye Chaman Maamoor Ho Ga Naghma-e-Touheed Se...!<
'*'
~~>END<~~
KHAKI*G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya