Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Monday 11 June 2012

Main aaj bhi chup hoon Main kal bhi chup thee.. Loag kehtay hain kuch to bolo Apni khamoshi ke band kholo..

NaDaaN Larki
***IMRAN KHAKI****
NaDaaN Larki

Main aaj bhi chup hoon Main kal bhi chup thee..
Loag kehtay hain kuch to bolo Apni khamoshi ke band kholo..

Main sochti hoon kya boloon Jo kuch mere dil main hai kis se kahoon

Un say jo nahin jantay Jazbon ki haqeeqat kya hai
Rooh kay sannaton main ghulti hooi..

Qatra qatra see azeeat kya hai
Jo samajhtay hain ke insaan faqat

Chand ashyaa-e-zaroorat ka hai mohtaj
Yeh Mohabbatain yeh rafaqatain..

Yeh khuloos-o-Wafa ki rahatain Sab bay mani lafzon ke gharonday hain.

Jin main baaith kar insaan Haqeeqaton se faraar chahta hai
Magar meri soach in say mukhtalif hai.

Aur ye he tanao ye he nafraton ka baais hai..
Main kal bhi chup thee
Main aaj bhi chup hoon.
KHAKIG

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya