Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Ab Aankhoon ki Zarkhezi ny Mahtaab Ugany Chhorr diye poet RAZAB


PO@T RAZAB
***IMRAN KHAKI***
Ab Aankhoon ki Zarkhezi ny Mahtaab Ugany Chhorr diye
Ab Ham hein Kooch kRasty pr,Ab sary tthikany Chhorr diye

Is Dil ki Haqeqat likhny mein Kuchh Dair jo Ham syChook hui,
Itny mein Adu ny kaam kia Do aik FaSany Chhorr diye

Ab Deed ki Naqdi Khatm hui Ab Shouq k Kuch Asaar Nahi
Ab Dil pe Qabu Rakhty hein Bazaar Ghumany Chhorr diye.

Is Umr Wahaan tk Ja Pohnchy,Jahaan aik bhi Jalwa Raas Nahi
Ab Khud ko Taakty Rehty hein.Mehfil mein Nishany Chhorr diye.

Us Husn-e-Bala ne Jb Chaaha Dil Khool k apni Marzi se
Kuchh Fitnon ko Azaad kia kuchh Rog Syany Chhorr diye.

Hazrt ny Khuda ka Naam lia Kalmy ne Zuban ki Laaj rakhi
Jb Us ne Rasm-e-Qurbat mein Kuch Dhul Suhany Chhorr diye.

Tb Hosh ka Soraj DoOb gaya Jb la k Badan k Sahil pr
Doroon ne Sharbt Pesh kia Hontoon ne Pemany Chhorr diye.

Wohi Naam-e-RAZAB k Hasil b 1 Ishq hai 1 Nakami hai
Jb Ghalib jesa Maan gaya Ham ne b Bahany Chhorr diye
KHAKIG

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya