Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Har aik ada par ghazal Kaho0n, Mere Shokh Ki Ye Farmaeysh hai. RAZAB TABREZ


PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Har aik ada par ghazal Kaho0n, Mere Shokh Ki Ye Farmaeysh hai.
Kuch Main bhi Thehra Husan Parast, Kuch Us me Bhi Gunjaeysh hai

Hen Dono Gulo0n K Hum Rasiya, Wo Gul'Paikar Main Tajir-e-Gull.
Yahaan Phool ghazal Ki Zeenat hai, Wahan Zulfon Ki Araeysh hai

Koi Rishta Apna Ban'ne Ko, Har Aan Par0on Ko Tol raha.
Mere Shair Wohi hein Daad Talab, Teri Nazar me jin Ki Staeysh hai.

Meri Soch Ka Satluj Wussat men, Kahin Neel sy Ziada Phail Chala.
Koi kese isko Naap sakay, Pemana' Na Pemaeysh hai

Parda Paband Taqazon men, Bazaar-e-Shoq Ki Garmi sy
Bus Hath Husan Ka Mazhar hein, Bus Ankh Badan Ki Numaeysh hai

Jab Unki Khirrki Khul jaey, Tum Apni Chhat sy Hat jao
Kiya apna Piyaar anokha hai, Kiya Muslim Ki aZmaeysh hai.

"RAZAB" K Taruf me Ehbab, Bus Do Batein Dohratay hein.
Gulabi Rut Ka AshiQ hai, October ki Pedaeysh hai
KHAKIG

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya