Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Na Bol kar Bhi Ankh ki Junbish si Mujh me hai


PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***
Na Bol kar Bhi Ankh ki Junbish si Mujh me hai
DoShiZgaan ko Khenchti Kashish si Mujh me hai

Jo Rog Paal kar bhi Kre Jug me Sarfaraz
Ghalib si Meer si, koi Rawish si Mujh me hai

Main Sard Mehar Bashar Hun, Par Yaar k liye
Dil me leHak hai,KhoOn me Tapish si Mujh me hai

Baatin me Hun Shafaf, Magar aur Baat hai
K Sung e Ishq Khane ki Kharish si Mujhe me hai

Veeran Gah e Dil ka kya ye Kam SaboOt hai ?
Barajmaan Koi "Pari'Wash" si Mujh me hai

Dushman ki Zarb bhi Mujhe Gulshan ka PhoOl hai
Har Zakhm se Numayan, Nawazish si Mujh me hai

Tum me aur Mujh me hai Faqat lafZon ka Hair Phair
Tafkhar hai aaP me, To Nazish si Mujhe me hai

Qayam sa Tujhse liPtun, aur Dayam sa ho rahun
Go akhri hai, Magar ye Khwahish si Mujh me hai

RAZAB ka Naam Youn bhi hai, Rungon ki ik Daleel
K Shair ki Ghazal ki jo, Kawish si Mujh me hai :-*
khaki G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya