Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 29 January 2013

Ahwaal-e-gham-e-zaat sunane se raha main

='="="="="="="='=
._.-._.PAYAS._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ahwaal-e-gham-e-zaat sunane se raha main...!<
+
Ab khud ko tamasha to banane se raha main...!<
+
Har baar main tazlel-e-Aana kar nahin sakta...!<
+
Har baar usay ja K manane se raha main...!<
+
Ahsan ka mafhoom hy Aankhen na milana...!<
+
Ahsan kisi ka B uthane se raha main...!<
+
Mumkin hy kisi roz yeh akser bana de...!<
+
Is dil main lagi Aag bujhane se raha main...!<
+
Jo zakhm doston K rawaiyon hain lage hain...!<
+
Wo zakhm kisi ko B dikhane se raha main...!<
+
Jane do mujay bazm-e-tarab main nahin roko...!<
+
Baar-e-gham-e-tanhai uthane se raha main...!<
+
Dariya hun to dariya hi usay paish krun ga...!<
+
Payasy ko samandar to pilane se raha main...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
01:40 am
Tue 29/01/2013

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya