TYPET BY
ALI IMRAN QADRI
Poet
PEER NASEER.O.DEEN NASEER GULDAVI
.
.
.
Peman.E.Wafa Aur Hai Saman.E.Jafa Aur
Us Fitna Doraan Ne Kaha Aur Kiya Aur
Tevar Alag Andaz Juda Un Ki Ada Aur
Wo Aur Hawa Mai Hai Zamane Ki Hawa Aur
Tarkeeb Koi Un Ko Manane Ki Ho Kia Aur
Mai Jitna Manata Hon Wo Hote Hai Khafa Aur
P Le Jo Kabi Shekh To P P K Pukare
Aae Saqi.e.Mekhana Zara Aur Zara Aur
Mehroom Howa Deen Se Dunia Ki Talab Mai
Na Fehm Ne Koch Aur Hi Socha Tha Howa Koch Aur
Phoolo Ki Waha Dhoop Yaha Saya.o.Hasht
Gulshan Ki Fiza Aur Hai Sehra Ki Fiza Aur
Insaf Mile Ga Sar.E.Medaan.E
Qayamt
Un Ka Na Khuda Aur Hai Na Mera Hi Khuda Aur
Dekhe To Zara Hum B Use Aae Hama Khobi
Hum Jesa Wafa Dar Koi Dhoond K La Aur
Chorre Na Muhbt Ko Naseer Aehl.E.Muhbt
Ye ShoQ Khata Hai To Khata Aur Khata Aur
And
TYPNG DATE
1/1/13/
BOOK NAME
PAIMANA E SHAB
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya