Co0lLECT BY
ALI IMRAN QADRI
Poet
HABIB ULLAH SARIM
TUM DIL MAI HUMARE REHTE HO
.
.
.
WO Mahena Jese Bhado Tha
Aur Chodvi Rat Ka Jadoo Tha
Wo Wasal Ki Lambi Rate Thi
Har Tarf Payar Ki Bate Thi
Mera Sar Teri Aagosh Mai Tha
Har Lamha Jese Josh Mai Tha
Wo Wada Aehd Nibane Ka
Sari Dunia Ko Thokrane Ka
Har Manzar Yun Itrata Tha
Jese Masti Mai Ghata Tha
Tum Sehme Sehme Lagte The
Ik Anjane Khof Se Darte The
Wo Muj Se Lipat Kar Ro Dena
Aur Ro Ro Kar Wo Keh Dena
Mai Tere Ishaq Mai Qamli Hoon
Sub Bhandan Thorr Kar Nikli Hoon
Mai Tuj Bin G Na Paoun Gi
Tum Bhoole To Mar Jaoun Gi
Wo Nain Bhare The Kajal Se
Maine Aanso Ponje Anchal Se
Hatho Mai Tere Hath Liye
Sub Jhagrre Hum Ne Bant Liye
Yahi Bat Use Samjai Thi
Bas Aik Qasam Uthayi Thi
TUM DIL MAI HUMARE REHTE HO
And
TYPNG DATE
1/1/13
BOOK NAME
WO SONDAR AANKHEN
No comments:
Post a Comment
apni kemati tajavez hum ko daty rahiya