Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Sunday 3 February 2013

O des say Aane wale bata BY Akhtar Shirani

='="="="="="="='=
PO@T
Akhtar Shirani
='="="="="="="='=
._.-._.PARDAS._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
O des say Aane wale bata...!<
+
Kis haal mein hain yaran-e-watan?...!<
+
Aawara-e-ghurbat ko B suna...!<
+
Kis rang mein hain kina'an-e-watan?...!<
+
Wo bagh-e-watan, firdos-e-watan...!<
+
Wo sarv-e-watan, rehan-e-watan...!<
+
O des say aney waley bata...!<
+
Kiya ab B watan mein waise hi...!<
+
Sar'mast nazarey hotey hain?...!<
+
Kiya ab B suhani raton ko...!<
+
Wo chand sitarey hotey hain?...!<
+
Hum khail jo khaila kartey they...!<
+
Kiya ab B wo sarey hotey hain?...!<
+
O des say ane waley bata...!<
+
Shadab shagufta phoolon se...!<
+
Ma'moor hain gulzar ab K nahin?...!<
+
Bazar mein malan lati hy...!<
+
Phoolon k gundhey haar ab K nahin?...!<
+
Aur shouq se totey partey hain...!<
+
No'umr kharidar ab k nahien?...!<
+
'*'
O des se ane waley bata...!<
+
Kiya ab B wahan waisi hi jawan...!<
+
Aur madh'bhari ratain hoti hain?...!<
+
Kiya raat bhar ab B geton ki...!<
+
Aur piyar ki batain hoti hain?...!<
+
Wo husn k jado chaltey hain...!<
+
Wo ishq ki ghatain hoti hain?...!<
+
O des sa ane waley bata...!<
+
Kiya ab B wahan k panghat per...!<
+
Pinhariyan pani bharti hain?...!<
+
Ungrai ka naqsha ban ban kar...!<
+
Sab mathey pe gagar dharti hain?...!<
+
Aur apne ghar ko jatey howe...!<
+
Hansti hoi chehlain karti hain?...!<
+
O des se ane waley bata...!<
+
Kiya ab B pahari ghatiyon mein...!<
+
Ghanghor ghatain gonjti hain?...!<
+
Sahil k ghanerey pairon mein...!<
+
Barkha ki sadahien gonjti hain?...!<
+
Jhengar k taraney jagtey hain...!<
+
Morom ki sadahien gonjti hain?...!<
+
'*'
O des se ane waley bata...!<
+
Kiya ab bhi wahan mailon mein wohi...!<
+
Barsat ka joban hota hy?...!<
+
Phailey howe Pair ki shakhon mein...!<
+
Jholon ka nasheman hota hy?...!<
+
Umdey howe badal hotey hain...!<
+
Chaya howa sawan hota hy?...!<
+
O des say ane waley bata...!<
+
Kiya ab B wahan barsat k din...!<
+
Baghon mein baharain ati hain?...!<
+
Masoom_o_haseen do'shiza'ain...!<
+
Barkha k taraney gati hain?...!<
+
Aur tetariyon ki tarha se rangeen...!<
+
Jholon per lehrati hain?...!<
+
O des say aney waley bata...!<
+
Kiya pehli si hy masoom abhi...!<
+
Wo madrasey ki shadab fiza?...!<
+
Kuch bhole howe din guzrey hain...!<
+
Jis mein wo misal-e-khwab fiza!...!<
+
Wo khail, wo hum-sin, wo maidan...!<
+
Wo khwab gah-e-mehtab fiza?...!<
+
'*'
O des se Aane wale bata...!<
+
Kiya ab B kisi k sene mein...!<
+
Baqi hy humari chah bata?...!<
+
Kiya yad humain B karta hy?...!<
+
Ab yaron main koi Aah bata?...!<
+
O des se ane waley bata...!<
+
Lillah bata! Lillah bata!...!<
+
O des say aney waley bata...!<
+
Kiya ab B fajar dam chr'wahey...!<
+
Rewar ko charane jatey hain?...!<
+
Aur sham k dhundhley sayon k...!<
+
Ham'rah ghar ko atey hain?...!<
+
Aur apni raseeli bansriyon Mein...!<
+
Ishq k naghmey gatey hain?...!<
+
O des se Aane waley bata...!<
+
Akhir mein ye hasrat hy k bata?...!<
+
Wo gharat-e-eman kaisi hy?...!<
+
Bachpan mein jo aafat dhati thi...!<
+
Wo Aafat-e-doran kaisi hy?...!<
+
Hum dono thay jis k parwane...!<
+
Wo shama-e-shabistan kaisi hy?...!<
+
'*'
O des se Aane waley bata...!<
+
Marjana tha jis ka naam bata...!<
+
Wo ghuncha deh'n kis haal mein hy?...!<
+
Jis per thay fida tiflan-e-watan...!<
+
Wo jan-e-watan kis haal mein hy?...!<
+
Wo sarv-e-chaman, wo rashk-e-watan...!<
+
Wo seem badan kis haal mein hy?...!<
+
O des se ane waley bata...!<
+
Ab naam-e-Khuda ho gi wo jawan...!<
+
Maikay mein hy ya susraal gai?...!<
+
Do'sheeza hy ya aafat mein usay...!<
+
Kam'bakht jawani daal gai?...!<
+
Ghar per hi rahi ya ghar say gai...!<
+
Khush haal rahi, khush haal gai?...!<
+
O des say aney waley bata...!<
+
Singer
Abida Parveen
==>END<==
KHAKI.G
Thr 03.02.13
11:15 pm

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya