Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Monday 11 March 2013

Aahat si hui thi na koi barg hila tha By Mohsin

='="="="="="="='=
POET
MOHSIN NAQVI
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Aahat si hui thi na koi barg hila tha...!<
+
Main khud hi sar-e-mehfil-e-shab cheekh para tha...!<
+
Lamhon ki fasilen B mere gird khari thi'n...!<
+
Main phir B tujhe sheher main awaara laga tha...!<
+
Tune jo pukara hy to bol utha hun, warna...!<
+
Main fikr ki dehleez pey chup chaap khara tha...!<
+
Phaili thi bhare sheher main tanhai ki baaten...!<
+
Shayed koi deewar ke peche B khara tha...!<
+
Ab is K siwa yaad nahin jashn-e-mulaaqat...!<
+
Ik maatmi jugnu meri palkon pe saja tha...!<
+
Ya barish-e-sang ab K musalsal na hui thi...!<
+
Ya phir main tere sheher ki raah bhool gaya tha...!<
+
Ik jalwa-e-mehboob se roshan tha mera zehen...!<
+
Wajdan yeh kehta hy wahi mera KHUDA tha...!<
+
Viran na ho is darja koi mousam-e-gull B...!<
+
Kehte hain kisi shakh pe ik phool khila tha...!<
+
Ik tu K gureza'n hi raha mujh se beher tor...!<
+
Ik main K tere naqsh-e-kadam choom raha tha...!<
+
Dekha na kisi ne B meri simat palat ker...!<
+
Mohsin main bikhre huwe sheeshon ki sada tha...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
03:45 pm
Mon 11/03/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya