Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Sunday 17 March 2013

Daraig amdam zaan hama bostan (Zauq-o-Shauq) By IQBAL

PO@T
Sir Dr Allama IQBAL
='="="="="="="='=
._.Zauq-o-Shauq._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Daraig amdam zaan hama bostan...!<
+
Tahi dast raftan suay dostan...!<
+
Qalb-o-nazar ki zindagi dast mein subah ka saman...!<
+
Chasma'ay aftab se noor ki nadiyan rawan...!<
+
Husn-e-azal ki hy namood, chaak hy parda-e-wajood...!<
+
Dil K liye hazar sood, aik nigah ka ziyan...!<
+
Surkh-o-kabud badaliyan chor gaya sihab-e-shab...!<
+
Koh-e-idm ko de gaya rang barang teelsiyan...!<
+
Gard se pak hy hawa, barg-e-nakheel dhul gaye...!<
+
Raig-e-nawah-e-kazimah naram hy misl-e-parniyan...!<
+
Aag bujhi hui edhar, tuti hui tanab udhar...!<
+
Kya khabar is maqam se guzaray hain kitne karwan?...!<
+
Ayi sada-e-Jibreel, tera maqam hy yehi...!<
+
Ahl-e-faraak K liye ayesh-e-dawam hy yehi...!<
+
Kis se kahon K zehar hy mere liye may'ay hiyat?...!<
+
Kuhna hy bazm-e-kainat, taza hain mere wardaat...!<
+
Kiya nahin aur Ghaznavi kargah-e-hiyat mein?...!<
+
Baithe hain kab se muntazir ahl-e-harm K soumanaat...!<
+
Zikr-e-arab K souz mein, fikr-e-ajam K saaz mein...!<
+
Nay arabi mushahidaat, Nay ajami takhayulaat...!<
+
Kafla-e-hijaz mein aik hussain(R.A.) B nahin...!<
+
Garcha hy tabdaar abhi gaisu-e-dajla-o-firat...!<
+
Aqal-o-dil-o-nigah ka murshid-e-awaleen hy ishq...!<
+
Ishq na ho to sharaa-o-deen, bot'khudda-e-Tasawwarat...!<
+
Sidq-e-Khalil(A.S.) B hy ishq, sabr-e-Hussain(R.A.) Bb hy ishq...!<
+
Maarka-e-wajood mein badar-o-hunain B hy ishq...!<
+
Aaya-e-kainat ka ma'ani-e-deryaab tu...!<
+
Nikle teri talash mein kafla ha'ay rang-o-bu...!<
+
Jalwatiyan-e-madrasah kour nigah-o-murda zauq...!<
+
Khalwatiyan may'kuda kam talab-o-tahi kadu...!<
+
Main K meri ghazal mein hain Aatish-e-rafta ka suragh...!<
+
Meri tamam sarguzhast, khuay huwon ki justajoo...!<
+
Baad-e-saba ki mouj se nashonuma'ay khar-o-khs...!<
+
Mere nafs ki mouj se nashonumaa-e-arzoo...!<
+
Khoon-e-dil-o-jigar se hy meri nawa ki parwarish...!<
+
Hy rag-e-saaz mein rawan sahib-e-saaz ka lahoo...!<
+
Fursat-e-kashmakash madah'ayen dil-e-beqarar Ra...!<
+
Yak do shikan ziada kun ghaisu-e-tabdaar ra...!<
+
Loh B Tu Qalam B Tu, Tera wajood Al'Kitab...!<
+
Gunbad-e-abgina rang tere muheet mein habab...!<
+
Alim-e-Aab-o-khak mein tere zahoor se faroug...!<
+
Zarra-e-raig ko diya tu ne tulu-e-aftab...!<
+
Shoukat-e-sanjar-o-saleem tere jalal ki namood...!<
+
Faqr-e-Junaid(R.A.)-o-Bayazeed(R.A.), tera jamal-e-be'naqab...!<
+
Shauq tera agar na ho meri namaz ka imam...!<
+
Mera Qiyam B hijab, mera sajood B hijab...!<
+
Teri nigah-e-naaz se dono murad pa gaye...!<
+
Aqal ghiyab-o-justajoo, ishq huzoor-o-iztarab...!<
+
Teerah-o-taar hy jahan gardish-e-aftab se...!<
+
Taba-e-zamana taza kar jalwa-e-behijab se...!<
+
Teri nazar mein hain tamam mere guzishta roz-o-shab...!<
+
Mujh ko khabar na thi K hy ilm-e-nakheel-e-be'rutab...!<
+
Taza mere zameer mein ma'arka-e-kuhan huwa...!<
+
Ishq tamam Mustafavi (S.A.W.), aqal tamam bu'lahab...!<
+
Gah bahila mee burad, gah bazor mee kusah...!<
+
Ishq ki ibtada ajab, ishq ki intaha ajab...!<
+
Alim-e-souz-o-saaz mein wasal se barh K hy firaaq...!<
+
Wasal mein marg-e-arzoo, hijar mein lazzat-e-talab...!<
+
Ayen-e-wisal mein mujhay hosla-e-nazar na tha...!<
+
Gharcha bahana joo rahi meri nigah-e-be'adab...!<
+
Garmi-e-arzoo firaaq, shorish-e-ha'ay-o-hu firaaq...!<
+
Mouj ki justajoo firaaq, Qatre ki abroo firaaq...!<
+
(In asha'ar mein se aksar falestine mein likhe gaye)
+
==>END<==
KHAKI.G
05:00 pm
Sun 17/03/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya