Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday 13 April 2013

Jo tha nahin hy,jo hy na ho ga, By IQBAL

PO@T
Sir Dr Allama Iqbal ='="="="="="="='=
._.-._.ZAMANA._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Jo tha nahin hy,jo hy na ho ga, yehi hy ek harf-e-mehrmana...!<
+
Qareeb tar hy namood jis ki ussi ka mushtaq hy zamana...!<
+
Meri soorahi se qatra qatra naye hawadis tapak rahe hain...!<
+
Main apni tasbeeh-e-roz-o-shab ka shumar karta hun dana dana...!<
+
Har aik se ashna hun, lekin juda juda rasme-o-rah meri...!<
+
Kisi ka raakab, kisi ka markab, kisi ko ibrat ka taziyana...!<
+
Na tha agar tu shareek-e-mehfil, qasoor mera hy yan K tera?...!<
+
Mera tareeka nahin K rakh lun kisi ki khatar maiay shabana...!<
+
Mere kham-o-paich ko najoomi ki ankh pehchanti nahin hy...!<
+
Hadaf se baigana teer us ka, nazar nahin jis ki arfana...!<
+
Shafaq nahin maghrabi ufaq par, ye jooye khoon hy, ye jooye khoon hy...!<
+
Tulu-e-farda ka muntazir reh K dosh-o-amroz hy fasana...!<
+
'*'
Wo fikar-e-ghustakh ji ne uryaan kiya hy fitrat ki taqaton ko...!<
+
Ussi ki betab bijliyon se khatr mein hy us ka ashiyana...!<
+
Hawaen un ki, fazaen un ki, sumundar un K, jahaz un K...!<
+
Girah bhanwar ki khule to Q'kar, bhanwar hy taqeer ka bahana...!<
+
Jahan-e-nau ho raha hy paida, wo alam-e-peer mar raha hy...!<
+
Jise farangi muqamiron ne bana diya hy qimar khana...!<
+
Hawa hy go tund-o-taiz lekin charagh apna jala raha hy...!<
+
Wo mard-e-Darvesh jis ko haq ne diye hain andaz-e-khusarwana...!<
+
Book Bal-e-Jibril...!<
+
==>END<==
Khaki.G
10:55 am
14/04/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya