Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Wednesday 3 April 2013

Maqrooz K bigray huway halaat ki manind BY MOHSIN

='="="="="="="='=
PO@T
MOHSIN NAQVI
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Maqrooz K bigray huway halaat ki manind...!<
+
Majboor K honton pe sawalaat ki manind...!<
+
Dil ka teri chahat main ajab haal huwa hy...!<
+
Selaab se barbaad makanaat ki manind...!<
+
Main un main bhatakte huway jugnu ki tarha hun...!<
+
Us shakhs ki Aankhen hain kisi raat ki manind...!<
+
Dil roz sajata hun main dulhan ki tarha se...!<
+
Ghum roz chale aate hain baraat ki manind...!<
+
Ab ye B nahi yaad K kiya naam tha us ka...!<
+
Jis shakhs ko manga tha manajaat ki maanind...!<
+
Kis darja muqadas hy tere qurb ki khahish...!<
+
masoom se bachay K khyalaat kimanind...!<
+
Us shakhs se milna *Mohsin* mera mumkin hi nahi hy...!<
+
Main pyaas ka sehra hun wo barsaat ki manind...!<
+
==>END<==
Khaki.G
Thr 04/04/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya