Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Thursday 18 April 2013

Zamana aya hy behijabi ka By IQBAL Book Bang-e-Dra

PO@T
Sir Dr Allama Iqbal
='="="="="="="='=
._.March 1907._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Zamana aya hy behijabi ka, Aam didar-e-yar ho ga...!<
+
Sakoot tha parda dar jis ka, wo raaz ab ashkar ho ga...!<
+
Guzar gya ab wo dor saqi K chup K peete the peene wale...!<
+
Bane ga sara jahan maikhana, har koi bada khwar ho ga...!<
+
Kabhi jo awar-e-junoon the, wo bastiyon mein phir Aa basain ge...!<
+
Barhna payi wohi rahe gi, magar naya khar zaar ho ga...!<
+
Suna diya gosh-e-muntazir ko hijaz ki khamshi ne akhir...!<
+
Jo ehad sehraiyon se bandha gya tha, phir ustawar ho ga...!<
+
Nikl K sehra se jis ne roma ki saltanat ko ulat diya tha...!<
+
Suna hy ye Qudsiyon se main ne, wo sher phir hoshyar ho ga...!<
+
Kiya mera tazkara jo saqi ne badah'khawaron ki anjuman mein...!<
+
To peer-e-maikhana sun K kehne laga K munh phat hy, khuwar ho ga...!<
+
'*'
Diyar-e-maghrib K rehne walo! Khuda ki basti dukan nahin hy...!<
+
Khara jise tum samajh rahe ho, wo ab zr-e-kam ayaar ho ga...!<
+
Tumhari tehzeeb apne khanjar se ap hi khudkushi kare gi...!<
+
Jo shakh-e-nazuk pe ashiyana bane ga, na paidar ho ga...!<
+
Safin-e-barg-e-gul bana le ga qafla moor-e-natawan ka...!<
+
Hazar moujon ki ho kashakash magar ye darya se paar ho ga...!<
+
Chaman mein lala dikhata phirta hy dagh apna kali kali ko...!<
+
Ye janta hy K is dikhawe se dil jalon mein shumar ho ga...!<
+
Jo aik tha Ae nigah tu ne hazar kar K humain dikhaya...!<
+
Yehi agar kaifiyat hy teri to phir kise itibaar ho ga...!<
+
Kaha jo Qumri se main ne ek din, yahan K azad pa ba gil hain...!<
+
To ghunche kehne lage, humare chaman ka ye raazdaar ho ga...!<
+
'*'
Khuda K ashiq to hain hazaron, bannu mein phirte hain mare mare...!<
+
Mein us ka banda bano ga jis ko Khuda K bandon se pyar ho ga...!<
+
Ye rasm-e-bazm-e-fana hy ae dil! Gunah hy junbish-e-nazar B...!<
+
Rahe gi kya abru humari jo tu yahan be'Qarar ho ga...!<
+
Mein zulmat-e-shab mein le K niklun ga apne darmandah karwan ko...!<
+
Sharar fishan ho gi Aah meri, nafas mera shaola bar ho ga...!<
+
Nahin hy ghair az namood kuch B jo maddaa teri zindagi ka...!<
+
Tu ek nafas mein jahan se mitna tujhe misl-e-sharaar ho ga...!<
+
Na pooch *Iqbal* ka thikana, abhi wohi kaifiyat hy us ki...!<
+
Kahin sar-e-rah guzar baitha sitam kash-e-intizar ho ga...!<
+
Book
Bang-e-Dra
==>END<==
Khaki.G
01:15 pm
Tue 18/04/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya