Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday 29 January 2016

Kisi shammaa pay parwana koi qasdan nahi marta

*=*=*=*=*=*=*
*=*GHAZAL*=*
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Kisi shammaa pay parwana koi qasdan nahi marta...!<
+
Usay to wasal K lamhoon ki hasrat maar deti hai...!<
+

Yeh sach hai ke too lafzon ka sahara to nahi laita...!<
+
Tairay khamosh lehjey ki fasahat maar deti hai...!<
+

Mere pegham ka matlab wo na samjhay to chup rehna...!<
+
K aksar aisay moqaon par wazahat maar deti hai...!<
+

Khuda ka naam bhi aur naik Nami ki tamanna bhi...!<
+
Arey Zahid dikhavay ki ibadat maar deti hai...!<
+

Tumhe murda zmiron par taajjub kis liye itna?...!<
+
Yeh be wajah nahi martay zaroorat maar deti hai...!<
+

Suno ahd-e-shabab aaya hai ab mohtaat ho jao...!<
+
Nai kaliyon ko bawaron ki shararat maar deti hai...!<
+

ussay kehna K din dhalnay ko hai ab ghar ko loot aaeye...!<
+
Andheri raat mein lambi masafat maar deti hai...!<
+

Khayalon mein sahi lekin wo mere samnay to hai...!<
+
Mujhe khowabon mein rehne do haqeeqat maar deti hai...!<
+

Yahan dil bik rahay hain darham-o-dinar K aiwz...!<
+
Naafa ho ya khasara yeh tijarat maar deti hai...!<
+

Mere shanay pay sir rakh kar kabhi jee bhar ke roo dayna...!<
+
K sab kuch zabt karne ki yeh aadat maar deti hai...!<
+

Khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya