Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Sunday 7 February 2016

Apne maazi K tasawwur se harasan hon mein (Sahir Ludehyanwi)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Sahir Ludehyanwi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Apne maazi K tasawwur se harasan hon mein...!<
+
Apne guzray hue ayyaam se nafrat hai mujhe...!<
+
Apni be,kar tamanaun pay sharminda hun...!<
+
Apni be sood umedon pay nedamat hai mujhe...!<
+
Mere maazi ko andheron mein daba rehne do...!<
+
Mera maazi meri zillat K siwa kuch bhi nahi...!<
+
Meri um'medon ka haasil meri kawish ka selha...!<
+
Ek be naam aziat K siwa kuch bhi nahi...!<
+
Kitni be'kaar umedon ka sahara le kar...!<
+
Mein ne ewaan sajaye they kisi ki khatir...!<
+
Kitni be rabt tamanaoun K mabham saaye...!<
+
Apne khowaboon mein basaye they kisi ki khatir...!<
+
Mujh se ab meri mohabbat K fasanay na kaho...!<
+
Mujh ko kehnay do K mein ne inhen chaha hi nahi...!<
+
Aur wo mast nigehain jo mujhe bhool gayeen...!<
+
Mein ne un mast nigahon ko saraha hi nahi...!<
+
Mujh ko kehnay do K mein aaj bhi jee sakta hun...!<
+
Ishq nakaam sahi, zindagi nakaam nahi...!<
+
Un ko apnane ki khwahish inhen panay ki talab...!<
+
Shoq be'kaar sahi, sahee gham injaam nahi...!<
+
wohi gaisu, wohi nazrain, wohi aariz, wohi jism...!<
+
Mein jo chahoon to mujh aur bhi mil satke hain...!<
+
Wo kanwal jin ko kabhi un K liye khilna tha...!<
+
Un ki nazron se bohat daur bhi khil satke hain...!<
+
END
+
KHAKI.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya