Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday 13 February 2016

Chahat mein kiya duniya daari, ( Mohsin Bhopali)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Mohsin Bhopali

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Chahat mein kiya duniya daari, ishq mein kaisi majboori...!<
+
Logon ka kiya, samjhane do, un ki apni majboori...!<
+
Mein ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki...!<
+
meri arz bhi majboori thi un ka hukum bhi majboori...!<
+
Rok sako to pehli barish ki boundon ko tum roko...!<
+
kachi matti to mehkay gi, hai matti ki majboori...!<
+
Zaat kaddey mein pahron baatein aur milein to mohar-o-bulb...!<
+
jabar-e-waqt ne bakhsh hum ko ab ke kaisi majboori...!<
+
Jab tak hanstaa gaata mausam apna hai, sab apne hain...!<
+
Waqt parre to yaad aa jati hai masnoi majboori...!<
+
Muddat guzri ik waday par aaj bhi qaim hain MOHSIN...!<
+
hum ne saari Umar nibhai apni pehli majboori...!<
+
KHAKI.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya