Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday 19 February 2016

Ik aajab moor pay zindagi, sar-e-raah-e-ishq khari rahi (Shafeeq Khalish)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Shafeeq Khalish

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Ik aajab moor pay zindagi, sar-e-raah-e-ishq khari rahi...!<
+
Na mila kabhi koi radd-e-gham, na hi lab pay aa K hansi rahi...!<
+
Kabhi khalwaton mein bhi roz-o-shab tari bazm jaisay saji rahi...!<
+
Kabhi yun howa K ha'jhoom mein, mujhe paish be'nafri rahi...!<
+
Sabhi Mushkilain bhi ajeeb theen rah-e-wasal aa jo dati Rahen...!<
+
Na nazar mein ik, na guman mein kuch, ajab aik be'nazri rahi...!<
+
Mujhe zabt-e-gham se nahi gilah, ruke sal-e-gham se howa bura...!<
+
Na ayaan tha chehray se dard-o-gham, magar aankh thi K bhari rahi...!<
+
Mein tayyar kab na tha marne par magar is sitam ka bhi kya elaaj...!<
+
Teri guft aamad-o-Raft se, bhali moot sir se talli rahi...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya