Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Wednesday 10 February 2016

Palkon pay dil ka rang-e-farozan nahi raha (Hanif Akhgar)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Hanif Akhgar
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*
+
Palkon pay dil ka rang-e-farozan nahi raha...!<
+
Ab ek bhi deya sir-e-mrisgaan nahi raha...!<
+
Qalb-e-gudaaz-wa-deedaae'tar to hai apne pas...!<
+
Mein shaad hoon, K be'sar-o-saaman nahi raha...!<
+
Aankhon mein Jal uthay hain diye intzaar K...!<
+
Ahsas-e-zulmat-e-shab-e-hijran nahi raha...!<
+
Tujh se bhichar K aaj bhi zindah to hoon, magar...!<
+
Wo irtiaash taar rag-e-jaan nahi raha...!<
+
Kiyon'kar na kufar-o-ishq pay imaan laeya...!<
+
Suntay hain ab wo dushman-e-ehman nahi raha...!<
+
Ab Aaye hain wo Pursish-e-ahwaal K liye...!<
+
Jab aitibaar-e-umar-e-gurizan nahi raha...!<
+
Sakit howa hai jitna tujhe dekhnay ke baad...!<
+
Itna to aaina kabhi heraan nahi raha...!<
+
Imkaan bar'yabe darbaar-e-hussn ho...!<
+
Hum ko Dimagh-e-minnat-e-darbaan nahi raha...!<
+
AKHGAR wo din bhi door nahi jab kahin ge log...!<
+
Mehfil mein ek aur ghazal khuwan nahi raha...!<
+
Khaki.G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya