Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 16 February 2016

Shaam tak subah ki nazron se utar jatay hain ( Waseem Barilvi)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Waseem Barilvi

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Shaam tak subah ki nazron se utar jatay hain...!<
+
Itnay samjhoton pay jeetay hain K mar jatay hain...!<
+
Hum to be'naam iraadon K musafir thehray...!<
+
Kuch pata ho to bitayen K kidhar jatay hain...!<
+
Ghar ki girty hui deewar hai hum se achi...!<
+
Rasta chaltay huway log thehr jatay hain...!<
+
Ik judai ka wo lamha, K jo marta hi nahi...!<
+
Log kehte thay sabhi waqt guzar jatay hain...!<
+
Phir wohi tlkhyi-e-halaat muqaddar thahri...!<
+
Nashay kaisay bhi hon kuch din mein utar jatay hain....!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya