Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Thursday 11 February 2016

Tairay khayaal se loo day uthee hai tanhai (NASIR KAZAMI)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
NASIR KAZAMI
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*

+
Tairay khayaal se loo day uthee hai tanhai...!<
+
Shab_e_faraaq hai ya teri jalva aarai...!<
+
Too kis khayaal mein hai manzlon K shedai...<
+
Inhen bhi dekh jinhein rastay mein neend aayi...!<
+
Pukaar aye jaras-e-karwan-e-subah Tarb...!<
+
Bhatak rahay hain andheron mein tairay sodaai...!<
+
Thehr gaye hain srrah khaak urane ko...!<
+
Musafiron ko na chaair aye hawaaye sahrayi...!<
+
Rah hayaat mein kuch marhalay to dekh liye...!<
+
Yeh aur baat tri arzoo na raas aayi...!<
+
Yeh saneha bhi mohabbat mein baarha guzra...!<
+
Kis ne haal bhi poocha to aankhh bhar aayi...!<
+
Dil-e-afsurdah mein phir dharkanon ka shore utha...!<
+
Yeh baithy baithy mujhe kin dinon ki yaad aayi...!<
+
Khuli jo aankhh to kuch aur hi samaa dekha...!<
+
Wo log they na wo jalsay na shehar ranayi...!<
+
Phir is ki yaad mein dil be qarar hai nasir...!<
+
Bhichar K jis se hui sehar shehar ruswai...!<
+
Khaki.G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya