Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday 13 August 2016

Tary gham ko jaan ki talaash thi tary jaan'Nisar chalay gaye (Faiz Ahmed FAIZ)

P@ET
Faiz Ahmed FAIZ
*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*
Tary gham ko jaan ki talaash thi tary jaan'Nisar chalay gaye.
*
Teri rhaa mein karte thay sir talab, sar-e rha'guzar chalay gaye.
*
Teri kaj'adai se haar ke shab_e_intzaar chali gayi.
*
Mere zabt-e-haal se rooth kar mere ghum'gusaar chalay gaye.
*
Na sawal-e-wasal, na arz-e-gham, na haqayatain na shikaytin.
*
Tary ehad mein dil-e-zaar ke sabhi ikhtiyar chalay gaye.
*
Na raha junoon wafa, yeh rasan yeh daar karo ge kya?
*
Jinhein jurm-e-ishq pay naz tha wo gunahgaar chalay gaye.
*
Yeh hamein thay jin ke libaas par sar-e-reh siyahi likhi gayi.
*
yahi daagh thay jo saja ke hum sar-e-bzm-e-yaar chalay gaye.
*
Khaki

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya