Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday, 26 February 2016

Dil K be'chain jazero mein utar jaye ga ♡ Indar Varmaan ♡

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Indar Varmaan

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Dil K be'chain jazero mein utar jaye ga...!<
+
Dard aanhon K muqadar ka pata laaye ga...!<
+
Mere bechre huay lamhaat saja kar rakhna...!<
+
Waqt lafzon mein ghazal ban K thehr jaye ga...!<
+
Us ki har baat Jafaa pesha hui hai aksar...!<
+
Zakham ka khauf kabhi us ko bhi dehlaye ga...!<
+
Waqt khamosh hai tootay huay Rishton ki terhan...!<
+
Wo Bhala kaisay mere dil ki khabar paye ga...!<
+
Shaam-e-gham aaj bhi Guzri hai hsin khowaboon mein...!<
+
Gham-e-janan to mohabbat mein sitam dhaaye ga...!<
+
Dil mera aaj jafaoun pay bohat Nazaan hai...!<
+
Mere honton pay tabussam hi nazar aaye ga...!<
+
Us ke mizrab se jab raag banin ge Deepak...!<
+
Megh chupkay se mere dil pay baras jaye ga...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Thursday, 25 February 2016

Mite maazi K katbon ko gira kar bhool jata hun ( Mite maazi K katbon ko gira kar bhool jata hun ( Aqeel Shah )

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Aqeel Shah

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Mite maazi K katbon ko gira kar bhool jata hun...!<
+
Mein yun khuwaboon ki ab qabrain bana kar bhool jata hun...!<
+
Bary hi shoq se likhta hun mein sab naam ab dil par...!<
+
Phir us K baad khud un ko mita kar bhool jata hun...!<
+
Jawani K zamane ko kharay barish K pani mein...!<
+
Mein kaghaz ki koi kashti baha kar bhool jata hun...!<
+
Yeh kiya har roz hi tum se wohi ik tarz ki baatein...!<
+
Chalo phir aaj sab tum ko bata kar bhool jata hun...!<
+
AQEEL apne muqaddar ko kisi furqat ki saa'at mein...!<
+
Mein un hathon se haath apna churra kar bhool jata hon...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

ilm-o-fun K dewane aashiqii se darte hain ( Khumar Barabankvi )

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Khumar Barabankvi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
ilm-o-fun K dewane aashiqii se darte hain...!<
+
Zindagi K khwahan hain zindagi se darte hain...!<
+
Yun to hum zamane mein kab kisi se drtay hain?...!<
+
Aadmi K maare hain aadmi se darte hain...!<
+
Jal K aashyaan apna khaak ho chuka kab ka...!<
+
Aaj taq yeh aalam hai roshni se darte hain...!<
+
Le le zindagi yarab aur kuch saza day day...!<
+
Jee liye bohat, ab zindagi se drtay hain...!<
+
Jab na hosh tha hum ko dushmani se drtay they...!<
+
Ab jo hosh aaya hai dosti se darte hain...!<
+
Rehne day inhen naaseh tu yun hi andherey mein...!<
+
Kuch to hai jo deewany aagahi se darte hain...!<
+
Phool B jo hanstay hain, dil dhadakne lagta hai...!<
+
Ya hansi pay martay they, ya hansi se darte hain...!<
+
Touba aur jawani mein KHUMAR kya kehna...!<
+
Log aap jaisay hi mut'taqi se darte hain...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Tuesday, 23 February 2016

Rafta rafta wo meri hasti ka saman ho gaye ( Tasleem Fazli )

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Tasleem Fazli
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Rafta rafta wo meri hasti ka saman ho gaye...!<
+
Pehlay jaan phir jaan-e-jaan phir jaan-e-janan ho gaye...!<
+
Din ba'din barhti gayeen us husn ki raanaaiyaan...!<
+
Pehlay Gul phir Gulbadan phir Gul'badaman ho gaye...!<
+
Ap to nazdeek se nazdeek tar atay gaye...!<
+
Pehlay dil phir Dilruba phir dil K mehman ho gaye...!<
+
Pyar jab had se barha saaray takalouf mit gaye...!<
+
Ap se phir tum hue phir to ka unwan ho gaye...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Monday, 22 February 2016

Qaid mein guzray gi jo Umar baray kaam ki thi ( Parveen Shakir )

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Parveen Shakir

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Qaid mein guzray gi jo Umar baray kaam ki thi...!<
+
Par mein kiya karti K zanjeer tare naam ki thi...!<
+
Jis K maathey pay mare bakht ka tarah chamka...!<
+
Chaand K doobnay ki baat isi shaam ki thi...!<
+
Mein ne hathon ko hi patwar banaya warna...!<
+
Ek tooti hui kashti marey kis kaam ki thi...!<
+
Wo kahani K abhi soyyan niklee bhi na theen...!<
+
Fikar har shakhs ko shehzadi K injaam ki thi...!<
+
Yeh howa kaise urra le gayi aanchal mera...!<
+
Yun satanay ki to aadat marey gunshaam ki thi...!<
+
Boojh uthaye huwe pharti hai hamara ab tak...!<
+
Aye zamee maa! tari yeh Umar to aaraam ki thi...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Sunday, 21 February 2016

Ab k saal ponm mein jab tu aye gi milnay ♡ Nasir Kazmi ♡

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Nasir Kazmi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Ab k saal ponm mein jab tu aye gi milnay...!<
+
Hum ne soch trakha hai raat yun guzaraian gey...!<
+
Dharkanain bichadain ge shokh tere qadmon pay...!<
+
Aur nigahon se teri aarti utarain gey...!<
+
Tu K aaj qaatil hai, phir bhi Raahat dil hai...!<
+
Zeher ki nadi hai tu, phir bhi qeemti hai tu...!<
+
Pust husalay walay tera sath kiya den gey...!<
+
Zindagi edhar aja hum tujhe guzarain gey...!<
+
Aahini kaleje ko zakham ki zaroorat hai...!<
+
Unglion se jo tpke us lahoo ki haajat hai...!<
+
Ap zulf-e-janan K khum suwariyeh sahib...!<
+
Zindagi ki zulfon ko aap kya sanwarain gay...!<
+
Hum to waqt hain, pal hain, taiz gaam ghariyaan hain...!<
+
Be'qarar lamhay hain, be'takan sadiyan hain...!<
+
Koi sath mein apne aeye ya nahi aeye...!<
+
Jo miley ga raste mein, hum usay pukaarain gay...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Friday, 19 February 2016

Ik aajab moor pay zindagi, sar-e-raah-e-ishq khari rahi (Shafeeq Khalish)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Shafeeq Khalish

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Ik aajab moor pay zindagi, sar-e-raah-e-ishq khari rahi...!<
+
Na mila kabhi koi radd-e-gham, na hi lab pay aa K hansi rahi...!<
+
Kabhi khalwaton mein bhi roz-o-shab tari bazm jaisay saji rahi...!<
+
Kabhi yun howa K ha'jhoom mein, mujhe paish be'nafri rahi...!<
+
Sabhi Mushkilain bhi ajeeb theen rah-e-wasal aa jo dati Rahen...!<
+
Na nazar mein ik, na guman mein kuch, ajab aik be'nazri rahi...!<
+
Mujhe zabt-e-gham se nahi gilah, ruke sal-e-gham se howa bura...!<
+
Na ayaan tha chehray se dard-o-gham, magar aankh thi K bhari rahi...!<
+
Mein tayyar kab na tha marne par magar is sitam ka bhi kya elaaj...!<
+
Teri guft aamad-o-Raft se, bhali moot sir se talli rahi...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Thursday, 18 February 2016

Ab K hum bichre to shayad kabhi khowaboon mein melain (Ahmed Faraz)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Ahmed Faraz

*=*=*=*=*=*=*
 TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Ab K hum bichre to shayad kabhi khowaboon mein melain...!<
+
Jis tarhan sokhey huwe phool kitabon mein melain...!<
+
Dhoond ujre huwe logo mein wafa K moti...!<
+
yeh khazane tujhe mumkin hai kharabon mein milein...!<
+
Gham-e-duniya B gham-e-yar mein shaamil kar lo...!<
+
Nasha barpa hai sharabain jo sharabon mein milein...!<
+
Tu khuda hai na mera ishq firshton jaisa!...!<
+
dono insan hain to Q itnay hijaboon mein milein...!<
+
Aaj hum daar pay hum kheinchain gaye jin baton par...!<
+
kiya ajab kal wo zamane ko nisabon mein milein...!<
+
Ab na wo mein hun na tu hai na wo maazi hai FARAZ...!<
+
Jaisay do Sa'aye tamanna K sarabon mein milein...!<
+
(Dard-e-Aashob )
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Tuesday, 16 February 2016

Tumhari anjuman se auth K deewany kahan jatay (Qateel Shifai)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Qateel Shifai

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Tumhari anjuman se auth K deewany kahan jatay?...!<
+
jo wabasta hue tum se woh afsaanay kahan jatay?...!<
+
Nikal kar der-o-kaaba se agar milta na mai'khana...!<
+
to tukarhe hue insaa khuda jane kahan jatay?...!<
+
Tumhari be'rukhi ne laaj rakh li baadah khane ki...!<
+
tum aankhon se pila dete to pemanay kahan jatay?...!<
+
Chalo acha howa, kaam aagai deewangi apni...!<
+
wagerna hum zamane bhar ko samjhane kahan jatay?...!<
+
QATEEL apna muqaddar gham se begana agar hota...!<
+
to phir apne paraye hum se pehchane kahan jatay?...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Shaam tak subah ki nazron se utar jatay hain ( Waseem Barilvi)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Waseem Barilvi

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Shaam tak subah ki nazron se utar jatay hain...!<
+
Itnay samjhoton pay jeetay hain K mar jatay hain...!<
+
Hum to be'naam iraadon K musafir thehray...!<
+
Kuch pata ho to bitayen K kidhar jatay hain...!<
+
Ghar ki girty hui deewar hai hum se achi...!<
+
Rasta chaltay huway log thehr jatay hain...!<
+
Ik judai ka wo lamha, K jo marta hi nahi...!<
+
Log kehte thay sabhi waqt guzar jatay hain...!<
+
Phir wohi tlkhyi-e-halaat muqaddar thahri...!<
+
Nashay kaisay bhi hon kuch din mein utar jatay hain....!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Sunday, 14 February 2016

Hum tujh se kis hawas ki fallak! justajoo karen ( Khwaja Meer Dard )

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Khwaja Meer Dard

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Hum tujh se kis hawas ki fallak! justajoo karen...!<
+
Dil hi nahi raha hai jo kuch arzoo karen...!<
+
Tar damni pay Sheikh hamari na ja abhi...!<
+
Daman nichor den to farishtay wazoo karen...!<
+
Sir taa'qadam zabaan hain jon shama go K hum...!<
+
Par yeh kahan majaal jo kuch guftagu karen...!<
+
Har chand aaina hon par itna hon na'qubool...!<
+
Mun phair le wo jis K mujhe rubaroo karen...!<
+
Na Gul ko hai Sabaat na hum ko hai aitbaar...!<
+
Kis baat par chaman hawas-e-rang-o-boo karen...!<
+
Khaki.G 


M IMRAN KHAKI

Saturday, 13 February 2016

Chahat mein kiya duniya daari, ( Mohsin Bhopali)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Mohsin Bhopali

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Chahat mein kiya duniya daari, ishq mein kaisi majboori...!<
+
Logon ka kiya, samjhane do, un ki apni majboori...!<
+
Mein ne dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki...!<
+
meri arz bhi majboori thi un ka hukum bhi majboori...!<
+
Rok sako to pehli barish ki boundon ko tum roko...!<
+
kachi matti to mehkay gi, hai matti ki majboori...!<
+
Zaat kaddey mein pahron baatein aur milein to mohar-o-bulb...!<
+
jabar-e-waqt ne bakhsh hum ko ab ke kaisi majboori...!<
+
Jab tak hanstaa gaata mausam apna hai, sab apne hain...!<
+
Waqt parre to yaad aa jati hai masnoi majboori...!<
+
Muddat guzri ik waday par aaj bhi qaim hain MOHSIN...!<
+
hum ne saari Umar nibhai apni pehli majboori...!<
+
KHAKI.G


M IMRAN KHAKI

Friday, 12 February 2016

Duniya mein gham hi gham thay, koi khushi nahi thi. (AFTAB AKBAR)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
AFTAB AKBAR
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Duniya mein gham hi gham thay, koi khushi nahi thi...!<
+
Soo dundne mein nikla, ik gham bhulane wala...!<
+
Wo mujh ko mil gaya tha, gham bhi bhala diye thay...!<
+
Par mujh ko lag gaya tha, wo gham zamane wala...!<
+
Wo aaya, aa K bitchrha, bas is ka gham hai baqi...!<
+
Kya khoob gham diya hai, sab gham mitanay wala...!<
+
Kaisay na mein btaon, sab ko gham-e-judai...!<
+
Jab ik yahi bacha hai, bas gham sunanay wala...!<
+
Herat hai mujh ko hoti, Q ishq is ko kehte...!<
+
Zalim jo khud hi gham hai, , sab gham bananay wala...!<
+
Sab mashwarha hain dete, tujh ko mein bhool jaun...!<
+
Dhundo naya mein koi, phir gham rulane wala...!<
+
Pagal hon chore dun mein, peecha tairay gamoon ka...!<
+
Q haath se ganwaa dun, yeh gham hansaney wala...!<
+
KHAKI.G

Hum parwarish looh-o-qalam karte rahen gay (Faiz Ahmad Faiz)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Faiz Ahmad Faiz
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Hum parwarish looh-o-qalam karte rahen gay...!<
+
Jo dil pay gzri hy raqam karte rahen gay...!<
+
Asbaab-e-gham-e-ishq-o-baham karte rahen gay...!<
+
Weerani-e-dauraa pay karam karte rahen gay...!<
+
Haan talkhi-e-ayyaam abhi aur barhay gi...!<
+
Haan ahal-e-sitam mashq-e-sitam karte rahen gay...!<
+
Manzoor yeh talkhi yeh sitam hum ko gawara...!<
+
Dam hai to madawha-e-ilm karte rahen gay...!<
+
Baqi hai lahoo dil mein to har asshk se peda...!<
+
Rang lab-o-rukhsaar sanam karte rahen gay...!<
+
Ik tarz-e-taghaful hai so wo un ko mubarak...!<
+
Ik arz-e-tamanna hai so hum karte rahen gay...!<
+
Khaki.G

Thursday, 11 February 2016

Le chala jaan meri rooth K jana tera ( Daag Dehlvi )

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Daag Dehlvi
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*
+
Le chala jaan meri rooth K jana tera...!<
+
Asay aanay se to behtar tha na aana tera...!<
+
Apni dil ko bhi batau na thikana tera...!<
+
Sab ne jana jo pata ik ne jana tera...!<
+
Tu jo aye zulff pareshan raha karti hai...!<
+
Kis K ujrre hue dil mein hai thikana tera...!<
+
Yeh samajh kar tujhe aye mout laga rakha hai...!<
+
Kaam aata hai buray waqt mein aana tera...!<
+
Apni aankhon mein bhi gound gayi bijli si...!<
+
Hum na samjhay ke yeh aana hai ke jana tera...!<
+
Arzoo hi na rahi subh-e-watan ki mujh ko...!<
+
sham-o-gurbat hai ajab waqt suhana tera...!<
+
Kaba-o-dair me ya chashma-e-dil-e-ashiq main...!<
+
inhi do chaar gharo me hai thikaana tera...!<
+
DAAG ko yun wo mitatay hain yeh farmatay hain...!<
+
Tu badal daal howa naam purana tera...!<
+
Khaki.G

Aashiq sa badnaseeb koi dusarha na ho (Hafeez Jalundahri)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Hafeez Jalundahri
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*
+
Aashiq sa badnaseeb koi dusarha na ho...!<
+
Mashooq khud bhi chahay to is ka Bhala na ho...!<
+
Hai mudday-e-ishq hi dunyae mudda...!<
+
Yeh mudda na ho to koi mudda na ho...!<
+
Ibrat ka dars hai mujhe har surat_e_ Faqeer...!<
+
Hota hai yeh khayaal koi badshah na ho...!<
+
Payane car-e-moot hi aayi barooay car...!<
+
Hum ko to wasal chahiye koi bahana ho...!<
+
Mere Aziz mujh ko na choren ge qabar tak...!<
+
Aye jaan! intzaar na kar, to rawana ho...!<
+
Kaabay ko ja raha hoon nigahe soye der hai...!<
+
Haar phar K daikhta hoon koi daikhta na ho...!<
+
Haan aye hafeez chairta ja naghma-e-hayaat...!<
+
Jab tak tera rubab-e-Sukhan be sada na ho...!<
+
Khaki.G

Tairay khayaal se loo day uthee hai tanhai (NASIR KAZAMI)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
NASIR KAZAMI
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*

+
Tairay khayaal se loo day uthee hai tanhai...!<
+
Shab_e_faraaq hai ya teri jalva aarai...!<
+
Too kis khayaal mein hai manzlon K shedai...<
+
Inhen bhi dekh jinhein rastay mein neend aayi...!<
+
Pukaar aye jaras-e-karwan-e-subah Tarb...!<
+
Bhatak rahay hain andheron mein tairay sodaai...!<
+
Thehr gaye hain srrah khaak urane ko...!<
+
Musafiron ko na chaair aye hawaaye sahrayi...!<
+
Rah hayaat mein kuch marhalay to dekh liye...!<
+
Yeh aur baat tri arzoo na raas aayi...!<
+
Yeh saneha bhi mohabbat mein baarha guzra...!<
+
Kis ne haal bhi poocha to aankhh bhar aayi...!<
+
Dil-e-afsurdah mein phir dharkanon ka shore utha...!<
+
Yeh baithy baithy mujhe kin dinon ki yaad aayi...!<
+
Khuli jo aankhh to kuch aur hi samaa dekha...!<
+
Wo log they na wo jalsay na shehar ranayi...!<
+
Phir is ki yaad mein dil be qarar hai nasir...!<
+
Bhichar K jis se hui sehar shehar ruswai...!<
+
Khaki.G

Wednesday, 10 February 2016

Baat karni mujhe Mushkil kabhi aisi to na thi (Bahadur Shah Zafar)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T

Bahadur Shah Zafar
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*
+
Baat karni mujhe Mushkil kabhi aisi to na thi...!<
+
Jaisi ab hai tari mehfil kabhi aisi to na thi...!<
+
Le gaya chean ke kon aaj tra sabro o qarar...!<
+
Beqarari tujy ae dil kabhi aisi to na thi...!<
+
Is ki aankhon naay khuda jaany kiya kya jaaduu...!<
+
K tabiyat meri mael kabhi aisi to na thi...!<
+
Aks-e-rokhsaar naay kis ke hai tujy chamkaya...!<
+
Taab tujh mein mah-e-kaamil kabhi aisi to na thi...!<
+
Ab ki jo raah-e-mohabbat mein uthai takleef...!<
+
Sakht hoti hamein Manzil kabhi aisi to na thi...!<
+
Paye kuban koi zandan mein naya hai majnu...!<
+
Aati aawaz-e-salasil kabhi aisi to na thi...!<
+
Nigha-e-yaar ko ab kyun hai taghaful ae dil...!<
+
Wo tare haal se ghaafil kabhi aisi to na thi...!<
+
Chashm-e-qaatil meri dushman thi hamesha lekin...!<
+
Jaisi ab ho gayi qaatil kabhi aisi to na thi...!<
+
Kiya sabab to jo bigartaa hai Zafar se har baar...!<
+
Kho tri Hoor shamail kabhi aisi to na thi...!<
+
KHAKI.G

Kehnay ko har ik baat kahi tairay muqabil (Shehryar (Ikhlaq Mohammad Khan)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T Shehryar
(Ikhlaq Mohammad Khan)
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*
+
Kehnay ko har ik baat kahi tairay muqabil...!<
+
Lekin, wo fasana jo mare dil pay raqam hy...!<
+
Mehroomi ka ehsas mujhe kis liye hota...!<
+
Hasil hai jo mujh ko kahan duniya ko baham hy...!<
+
Ya tujh se bicharne ka nahi hosla mujh mein...!<
+
ya tairay taghaful mein bhi andaz-e-karam hai...!<
+
Thori se jagah mujh ko bhi mil jaye Kahin par...!<
+
wehshat tare Koochy mein, mare shehar se kam hy...!<
+
Aye hum safaro! Tootay na saanson ka tasalsul...!<
+
Yeh qaafla shoq bohat taiz qadam hai...!<
+
Khaki.G

Mein hosh mein tha to phir us pay mar gaya kaisay (Kamill chandi'puri)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Kamill chandi'puri
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*
+
Mein hosh mein tha to phir us pay mar gaya kaisay...!<
+
Yeh zeher mere lahoo mein utar gaya kaisay...!<
+
Kuch us K dil mein lagawat zaroor thi warna...!<
+
Wo mera haath daba kar guzar gaya kaisay...!<
+
Zaroor is ki tawajah ke rahbari ho gi...!<
+
Nashay mein tha to mein apne hi ghar gaya kaisay...!<
+
 Jisay bhulae kayi saal ho gaye kaamil...!<
+
Mein aaj is ki gali se guzar gaya kaisay?...!<
+
Khaki.G

Palkon pay dil ka rang-e-farozan nahi raha (Hanif Akhgar)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Hanif Akhgar
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*
+
Palkon pay dil ka rang-e-farozan nahi raha...!<
+
Ab ek bhi deya sir-e-mrisgaan nahi raha...!<
+
Qalb-e-gudaaz-wa-deedaae'tar to hai apne pas...!<
+
Mein shaad hoon, K be'sar-o-saaman nahi raha...!<
+
Aankhon mein Jal uthay hain diye intzaar K...!<
+
Ahsas-e-zulmat-e-shab-e-hijran nahi raha...!<
+
Tujh se bhichar K aaj bhi zindah to hoon, magar...!<
+
Wo irtiaash taar rag-e-jaan nahi raha...!<
+
Kiyon'kar na kufar-o-ishq pay imaan laeya...!<
+
Suntay hain ab wo dushman-e-ehman nahi raha...!<
+
Ab Aaye hain wo Pursish-e-ahwaal K liye...!<
+
Jab aitibaar-e-umar-e-gurizan nahi raha...!<
+
Sakit howa hai jitna tujhe dekhnay ke baad...!<
+
Itna to aaina kabhi heraan nahi raha...!<
+
Imkaan bar'yabe darbaar-e-hussn ho...!<
+
Hum ko Dimagh-e-minnat-e-darbaan nahi raha...!<
+
AKHGAR wo din bhi door nahi jab kahin ge log...!<
+
Mehfil mein ek aur ghazal khuwan nahi raha...!<
+
Khaki.G

Ho jaye un se pyar dobarah, kabhi nahi (Shafeeq Khalish)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Shafeeq Khalish
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
*=*=*=*=*=*=*
+
Ho jaye un se pyar dobarah, kabhi nahi...!<
+
Phir ho gamoon se dil yeh ghubarah, kabhi nahi...!<
+
La'haq hamesha un se bhi tanhaeyan rahen...!<
+
Din acha keh saken wo guzara kabhi nahi...!<
+
Sharezah-e-hayaat sameta jo ek baar...!<
+
Kiya hum bikharne den ge dobarah, kabhi nahi...!<
+
Haasil howa hai un se mohabbat mein kam sabaq?...!<
+
Jo phrse den wo khud pay ajarah, kabhi nahi...!<
+
Rakhtay hain naram gosha bhi dil mein Kahin koi...!<
+
Hum den unhen kuch aisa Ishara, kabhi nahi...!<
+
Ab phir se keh K chaand, wo ban payen ge nahi...!<
+
Dil K ufq ka mere sitara, kabhi nahi...!<
+
Kyun laa'taulqi pay yahi poochtay hain sab...!<
+
Ho ga bhi un se khatam Kinara kabhi nahi...!<
+
Taa umar! hum hain dil mein tahiya kiye KHALISH...!<
+
Den gay nahi ab un ko nzarah, kabhi nahi...!<
+
Khaki.G

Sunday, 7 February 2016

Mohabbat tark ki mein ne gireybn see liya mein ne (Sahir Ludehyanwi)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Sahir Ludehyanwi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Mohabbat tark ki mein ne gireybn see liya mein ne...!<
+
Zamane ab to khush ho zeher yeh pee liya mein ne...!<
+
Abhi zindah hon lekin sochta rehta hon khalwat mein...!<
+
K ab tak kis tamanna K saharay jee liya mein ne...!<
+
Unhen pa nahi sakta, magar itna bhi kya kam hai?...!<
+
K kuch muddat Hussain khowaboon mein kho kar jee liya mein...!<
+
Bas ab to daman e dil chore do bekar umeedo...!<
+
Bohat dukh seh liye mein ne bohat din jee liya mein...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Dono Jahan teri mohabbat mein haar K (faiz Ahmad Faiz)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Faiz Ahmed Faiz

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Dono Jahan teri mohabbat mein haar K...!<
+
Wo ja raha hy koi shab_e_ gham guzaar K....!<
+
Viran hai maikadah, khham o saghar udaas hain...!<
+
Tum kya gaye K rooth gaye din bahhar K...!<
+
Ik fursat gunah mili wo B chaar din...!<
+
Dekhe hain hum ne hauslay parWar-digaar K...!<
+
Duniya ne tari yaad se begana kar diya...!<
+
Tujh se B dil'faraib hain gham rozgaar K...!<
+
Bhoolay se muskura to diye thay wo aaj Faiz...!<
+
Mat pooch walwalay dil e nakardah car K...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Apne maazi K tasawwur se harasan hon mein (Sahir Ludehyanwi)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Sahir Ludehyanwi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Apne maazi K tasawwur se harasan hon mein...!<
+
Apne guzray hue ayyaam se nafrat hai mujhe...!<
+
Apni be,kar tamanaun pay sharminda hun...!<
+
Apni be sood umedon pay nedamat hai mujhe...!<
+
Mere maazi ko andheron mein daba rehne do...!<
+
Mera maazi meri zillat K siwa kuch bhi nahi...!<
+
Meri um'medon ka haasil meri kawish ka selha...!<
+
Ek be naam aziat K siwa kuch bhi nahi...!<
+
Kitni be'kaar umedon ka sahara le kar...!<
+
Mein ne ewaan sajaye they kisi ki khatir...!<
+
Kitni be rabt tamanaoun K mabham saaye...!<
+
Apne khowaboon mein basaye they kisi ki khatir...!<
+
Mujh se ab meri mohabbat K fasanay na kaho...!<
+
Mujh ko kehnay do K mein ne inhen chaha hi nahi...!<
+
Aur wo mast nigehain jo mujhe bhool gayeen...!<
+
Mein ne un mast nigahon ko saraha hi nahi...!<
+
Mujh ko kehnay do K mein aaj bhi jee sakta hun...!<
+
Ishq nakaam sahi, zindagi nakaam nahi...!<
+
Un ko apnane ki khwahish inhen panay ki talab...!<
+
Shoq be'kaar sahi, sahee gham injaam nahi...!<
+
wohi gaisu, wohi nazrain, wohi aariz, wohi jism...!<
+
Mein jo chahoon to mujh aur bhi mil satke hain...!<
+
Wo kanwal jin ko kabhi un K liye khilna tha...!<
+
Un ki nazron se bohat daur bhi khil satke hain...!<
+
END
+
KHAKI.G


M IMRAN KHAKI

Mera azam to tha buland ter

*=*=*=*=*=*=*
*=*
GHAZAL*=*
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Mera azam to tha buland ter...!<
+
isse hadsoon ne mita diya...!<
+
Main musaftun main bikher gaya...!<
+
Mujhe rastun ne ganwa diya...!<
+
Tere sath chalne ka hosla meri himtun se guzer giya...!<
+
Main pehle hi tha shakasta pa...!<
+
Isse andhiyun ne urra diya...!<
+
Tu ne jo sitam bhi kiye main ne seh liye tere naam per...!<
+
Tere zulm ki hai ye intaha tu ne dar se apne utha diya...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Saturday, 6 February 2016

Bohat dil ko satatay ho, ab aisi B mohabbat kiya? (Farakh Izhaar)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Farakh Izhaar

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Bohat dil ko satatay ho, ab aisi B mohabbat kiya?...!<
+
Musalsal yaad atay ho, ab aisi B mohabbat kiya?...!<
+
Jo hona daur hi thehra hamaray paas aa kar to...!<
+
Gilaay phir kyun lagatay ho, ab aisi B mohabbat kiya?...!<
+
Hussain-o-dillnashi un wasal K purkef lamhoon mein...!<
+
Judai se darate ho, ab aisi B mohabbat kiya?...!<
+
Jo gham taqseem karna hon to hum hi yaad atay hain...!<
+
Khushi mein bhool jatay ho, ab aisi B mohabbat kiya?...!<
+
Khafa hona, mana lena, riwayat hai mohabbat ki...!<
+
Mana kar roth jatay ho, ab aisi B mohabbat kiya?...!<
+
Yeh tum se keh diya kis ne mein tum ko bhool jaaon ga...!<
+
Jo tum mujh ko bhulatay ho, ab aisi B mohabbat kya?...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Thursday, 4 February 2016

Dhundo ge agar mulkon mulkon. milnay ke nahi nayaab (Shaad Azeem Abadi)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Shaad Azeem Abadi
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Dhundo ge agar mulkon mulkon. milnay ke nahi nayaab hain hum..!<
+
Tabeer hy jis ki hasrat-o-gham. aye hum nafsoo wo khawab hain hum...!<
+
Mein herat-o-hasrat ka mara khamosh khara hon saahil par...!<
+
Dareay-e-mohabbat kehta hy aa kuch bhi nahi payaab hain hum...!<
+
Aye dard bta kuch to hi pata. ab taq yeh moamma hal na howa...!<
+
Hum mein hy dil be'taab nihaan ya aap dil be'taab hain hum...!<
+
Lakhoon hi musafir chaltay hain, manzil pay pahunchte hain do aik...!<
+
Aye ahal zamana qader karo nayaab na hon kamyaab hain hum...!<
+
Murghan qafas ko phoolon ny ae shaad yeh kehla bheja hy...!<
+
Aa jao! jo tum ko aana ho aisay mein abhi shadaab hain hum...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Aankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarah

Aankh barsi hai tere naam pe sawan ki tarah...!<
+
Jism sulgha hai teri yaad main eindhan ki tarah ...!<

Louriyaan dein hain kisi qurb ki khakhish ne mujhe ...!<
+
Kuch jawani k bhi din guzray hain bachpan ki tarah ...!<

Is bulandi se mujhe tou ne nawaza kyun tha? ...!<
+
Gir k main toot gya kaanch k bartan ki tarah ...!<

Mujh se milte hue yeh baat to soochi hoti ...!<
+
Main tere Dil main sama jaon ga dharkan ki tarah ...!<

Muntazir hai kisi makhsoos si aahat k liye ...!<
+
Zindagi bethi hai dehleez pe barhan ki tarah ...!<

KhakiG


M IMRAN KHAKI

Wednesday, 3 February 2016

Taseer kuch nahi mere shair-o-sharar mein ( Saleem Raza)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
M Raza Saleem

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Taseer kuch nahi mere shair-o-sharar mein...!<
+
Ik lafz bhi nahi hai mere ikhtiyar mein...!<
+
Na pukhtagi abhi bhi mere ilm-o-fun mein hai...!<
+
Talwar ki si kaat nahi mere waar mein...!<
+
Pehchanta hai ab yeh mera dil ada-shanaas...!<
+
Rang-e-junoo hai nigahat baagh-o-bahar mein...!<
+
Jitne bhi khud pasand zamee par hain dekh lo...!<
+
Rehtay hain apni zaat K hi intzaar mein...!<
+
Tabinda jo sitara tha apne naseeb ka...!<
+
Qaidi bana howa hai ado K hisaar mein...!<
+
Manu ge gir na baat meri tum to jaan lo...!<
+
Tum bhi nahi ho aaj se mere shumaar mein...!<
+
Andhay banay hue hain Raza sab yahan pay log...!<
+
Tu bichta hai aaina jin K bazaar mein...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Mara to ranjishen saari mitanay ka iradah tha

*=*=*=*=*=*=*
*=*GHAZAL*=*
*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Mara to ranjishen saari mitanay ka iradah tha...!<
+
Galay us shakhs ko phir se laganay ka iradah tha...!<
+
Chalo acha howa sahil se hi lota diya warna...!<
+
Mera to kashtiyan saari jalanay ka iradah tha...!<
+
Macha deti hain halchal shaam dhalte hi teri yaden...!<
+
Dil nadaan ka tujh ko bhulane ka iradah tha...!<
+
Agar weraan shaakhon par parindon K na ghar hotay...!<
+
To ab sokhey darakhton ko jalanay ka iradah tha...!<
+
Barri minnat samajat se bhi wo mana nahi...!<
+
Jisay do chaar lafzon mein mananay ka iradah tha...!<
+
Khaki.G



M IMRAN KHAKI

Mein kar K saaf dil apna adawat kar nahi sakta (Iram Qaisar)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Iram Qaisar

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Mein kar K saaf dil apna adawat kar nahi sakta...!<
+
Koi shikwah gilah tum se shikayat kar nahi sakta...!<
+
Agarchay waar karta hai mujh pay yeh jahan sara...!<
+
Zamane se magar mein to baghaawat kar nahi sakta...!<
+
Miley koi jo dil se to hamara  sar B haazir hai...!<
+
Rawa jo ho na milnay ka madarat kar nahi sakta...!<
+
Khowaboon aur khayalon ki jahan duniya basayen hum...!<
+
Taamer mein koi aisi imarat kar nahi sakta...!<
+
Taray qadmon mein rakhne hain mujhy to aasmaa saaray...!<
+
Mein khaali maang kar afshaan se ibaarat kar nahi sakta...!<
+
Mere hissay mein hon dukh to yeh Manzoor hai mujh ko...!<
+
Khasara ho tumhe jis mein tijarat kar nahi sakta...!<
+
Kahin aisa na ho K chaar so saaz char jayen...!<
+
Mein saanson se aulajne ki shararat kar nahi sakta...!<
+
Koi aisa tareeqa ho mein jis se jaan jaun raaz...!<
+
Teray dil mein utrney ki jasaarat kar nahi sakta...!<
+
Talawat ho zabanon par IRAM aur kufar seenon mein...!<
+
khudaaraa mein koi aisi ibadat kar nahi sakta...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

Dil dhadakne ka sabab yaad aaya (Nasir Kazmi)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Nasir Kazmi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Dil dharakne ka sabab yaad aaya...!<
+
wo tari yaad thi ab yaad aaya...!<
+
Aaj mushkil tha sabalna aye dost!...!<
+
Tu museebat mein ajab yaad aaya...!<
+
Din guzaraa tha barri mushkil se...!<
+
Phir tera wada shab yaad aaya...!<
+
Tera bhola howa paiman wafa...!<
+
Mar rahen ge, agar ab yaad aaya...!<
+
Phir kayi log nazar se guzray...!<
+
Phir koi shehr-e Tarb yaad aaya...!<
+
Haal-e-dil hum bhi sunaate, lekin...!<
+
Jab wo rukhsat howa tab yaad aaya...!<
+
Baith kar saya gul mein, NASIR!...!<
+
hum bohat roye, wo jab yaad aaya...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI