Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday 25 May 2012

Jawab-e-Shikwa

THE ANSWER TO THE COMPLAINT
Sir Dr. Allama Iqbal
"*'Jawab-e-Shikwa'*"
TEXT BY TANHA_KHAKI
'*'
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai, Asar Rakhti Hai...!<
'*'.
Par Nahin, Taaqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai...!<
'*'.
Qudsi-Ul-Asal Hai, Riffat Pe Nazar Rakhti Hai...!<
'*'.
Khaak Se Uthti Hai, Gardoon Pe Guzar Rakhti Hai...!<
'*'.
Ishq Tha Fitna Gar-o-Sarkash-o-Chalaak Mera...!<
'*'.
Aasman Cheer Gaya Nala-e-Bebaak Mera...!<
'*'.
Peer-e-Gardoon Ne Kaha Sun Ke, Kahin Hai Koi!...!<
'*'.
Bole Sayyaare, Sar-e-Arsh-e-Bareen Hai Koi!...!<
'*'.
Chaand Kahta Tha, Nahin, Ahl-e-Zameen Hai Koi!...!<
'*'.
Kehkashaan Kehti Thi, Poshida Yahin Hai Koi!...!<
'*'.
Kuch Jo Samjha Tau Mere Shikwe Ko Rizwan Samjha...!<
'*'.
Mujhe Jannat Se Nikala Huwa Insan Samjha...!<
'*'
Thi Farishton Ko Bhi Hairat, Ke Yeh Awaz Hai Kya!...!<
'*'.
Arsh Walon Pe Bhi Khulta Nahin Yeh Raaz Hai Kya!...!<
'*'.
Taa Sar-e-Arsh Bhi Insan Ki Tag-o-Taaz Hai Kya?...!<
'*'.
Aa Gyi Khak Ki Chutki Ko Bhi Parwaaz Hai Kya?...!<
'*'.
Ghafil Aadaab Se Yeh Sukkaan-e-Zameen Kaise Hain...!<
'*'.
Shokh-o-Gustakh Yeh Pasti Ke Makeen Kaise Hain!...!<
'*'.
Iss Qadar Shokh Ke Allah Se Bhi Barham Hai...!<
'*'.
Tha Jo Masjood-e-Malaeek Yeh Wohi Aadam Hai?...!<
'*'.
Alam-e-Kaif Hai, Dana-e-Ramooz-e-Kam Hai...!<
'*'.
Haan, Magar Ijz Ke Asrar Se Namehram Hai...!<
'*'.
Naaz Hai Taaqat-e-Guftaar Pe Insanon Ko...!<
'*'.
Baat Karne Ka Saliqa Nahin Nadanon Ko!...!<
'*'.
Ayi Aawaz Ghum-Angaiz Hai Afsana Tera...!<
'*'.
Ashk-e-Betaab Se Labraiz Hai Paimana Tera...!<
'*'
Asmangeer Huwa Naara-e-Mastana Tera...!<
'*'.
Kis Qadar Shokh Zuban Hai Dil-e-Diwana Tera...!<
'*'.
Shukr Shikwe Ko Kiya Husn-e-Ada Se Tu Ne...!<
'*'.
Hum Sukhan Kar Diya Bandon Ko Khuda Se Tu Ne...!<
'*'.
Hum Tau Mayal Ba-Karam Hain, Koi Sayal Hi Nahin...!<
'*'.
Rah Dikhlaen Kise Rahraw-e-Manzil Hi Nahin...!<
'*'.
Tarbiat Aam Tau Hai, Jauhar-e-Qabil Hi Nahin...!<
'*'.
Jis Se Taamir Ho Aadam Ki Yeh Woh Gil Hi Nahin...!<
'*'.
Koi Qabil Ho Tau Hum Shan-e-Kai Dete Hain...!<
'*'.
Dhoondne Walon Ko Dunya Bhi Nai Dete Hain!...!<
'*'.
Hath Be-Zor Hain, Ilhaad Se Dil Khoo-Gar Hain...!<
'*'.
Ummati Baais-e-Ruswai-e-Paighamber (S.A.W) Hain...!<
'*'.
But-Shikan Uth Gaye, Baqi Jo Rahe But-Gar Hain...!<
'*'.
Tha Braheem Pidar, Aur Pisar Aazar Hain...!<
'*'
Badah Aasham Naye, Bada Naya, Khum Bhi Naye...!<
'*'.
Harm-e-Kaaba Naya, But Bhi Naye, Tum Bhi Naye...!<
'*'.
Woh Bhi Din The Ke Yehi Maya-e-Raanai Tha...!<
'*'.
Nazish-e-Mousam-e-Gul Lala-e-Sahrai Tha!...!<
'*'.
Jo Musalmaan Tha Allah Ka Saudai Tha...!<
'*'.
Kabhi Mehboob Tumhara Yehi Harjai Tha...!<
'*'.
Kisi Yakjai Se Ab Ehd-e-Ghulami Kar Lo...!<
'*'.
Millat-e-Ahmad (S.A.W.) Ko Maqami Kar Lo!...!<
'*'.
Kis Qadar Tum Pe Garan Subah Ki Baidari Hai...!<
'*'.
Hum Se Kab Pyar Hai! Haan Neend Tumhain Pyari Hai...!<
'*'.
Tabaa-e-Azad Pe Qaid-e-Ramazan Bhari Hai...!<
'*'.
Tumhi Keh Do, Yehi Aaeen-e-Wafadari Hai?...!<
'*'.
Qoum Mazhab Se Hai, Mazhab Jo Nahin, Tum Bhi Nahin...!<
'*'.
Jazb-e-Baham Jo Nahin, Mehfil-e-Anjum Bhi Nahin...!<
'*'
Jin Ko Ata Nahin Dunya Mein Koi Fann, Tum Ho...!<
'*'.
Nahin Jis Qoum Ko Parwaye Nasheman, Tum Ho...!<
'*'.
Bijliyan Jis Mein Hon Aasudah, Woh Khirman Tum Ho...!<
'*'.
Baich Khate Hain Jo Aslaaf Ke Madfan, Tum Ho...!<
'*'.
Ho Niko Naam Jo Qabaron Ki Tajarat Kar Ke...!<
'*'.
Kya Na Baicho Ge Jo Mil Jaen Sanam Pathar Ke...!<
'*'.
Safah-e-Dehr Se Batil Ko Mitaya Kis Ne?...!<
'*'.
Nau-e-Insan Ko Ghulami Se Chhuraya Kis Ne?...!<
'*'.
Mere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Kis Ne?...!<
'*'.
Mere Quran Ko Seenon Se Lagaya Kis Ne?...!<
'*'.
The Tou Aaba Woh Tumhare Hi, Magar Tum Kya Ho?...!<
'*'.
Hath Par Hath Dhare Muntazir-e-Farda Ho!...!<
'*'.
Kya Kaha? "Bahr-e-Musalman Hai Faqt Wade-e-Hoor...!<
'*'.
Shikwa Be-Ja Bhi Kare Koi Tau Lazim Hai Shaoor!...!<
'*'
Adal Hai Fatir-e-Hasti Ka Azal Se Dastoor...!<
'*'.
Muslim Aaeen Huwa Kafir Tau Mile Hoor-o-Qasoor...!<
'*'.
Tum Mein Hooron Ka Koi Chahne Wala Hi Nahin...!<
'*'.
Jalwa-e-Toor Tau Maujood Hai, Moosa Hi Nahin...!<
'*'.
Manfa'at Aik Hai Is Qaum Ki, Nuqsan Bhi Aik...!<
'*'.
Ek Hi Sab Ka Nabi (S.A.W), Din Bhi, Iman Bhi Aik...!<
'*'.
Harm-e-Paak Bhi, Allah Bhi, Quran Bhi Aik...!<
'*'.
Kuch Bari Baat Thi Hote Jo Musalmaan Bhi Aik!...!<
'*'.
Firqa Bandi Hai Kahin, Aur Kahin Zaatain Hain...!<
'*'.
Kya Zamane Mein Panapne Ki Yehi Baatain Hain?...!<
'*'.
Kon Hai Taarik-e-Aaeen-e-Rasool-e-Mukhtar (S.A.W.)?...!<
'*'.
Maslihat Waqt Ki Hai Kis Ke Amal Ka Maayaar?...!<
'*'.
Kis Ki Ankhon Mein Samaya Hai Sha'ar-e-Aghyar...!<
'*'.
Ho Gyi Kis Ki Nigah Tarz-e-Salaf Se Baizar?...!<
'*'
Qalb Mein Souz Nahin, Rooh Mein Ehsas Nahin...!<
'*'.
Kuch Bhi Paigham-e-Muhammad (S.A.W.) Ka Tumhain Paas Nahin...!<
'*'.
Jaa Ke Hote Hain Masajid Mein Saf-Aara, Tau Ghareeb...!<
'*'.
Zehmat-e-Roza Jo Karte Hain Gawara, Tau Ghareeb...!<
'*'.
Naam Leta Hai Agar Koi Hamara, Tau Ghareeb...!<
'*'.
Pardah Rakhta Hai Agar Koi Tumhara, Tau Ghareeb...!<
'*'.
Umra Nasha-e-Doulat Mein Hain Ghafil Hum Se...!<
'*'.
Zinda Hai Millat-e-Baiza Ghurba Ke Dam Se...!<
'*'.
Waaiz-e-Qoum Ki Woh Pukhta Khayali Na Rahi...!<
'*'.
Barq Taba'ee Na Rahi, Shaola Maqali Na Rahi...!<
'*'.
Reh Gyi Rasm-e-Azan, Rooh-e-Bilali Na Rahi...!<
'*'.
Falsafa Reh Gya, Talqeen-e-Ghazali Na Rahi...!<
'*'.
Masjidain Marsiya Khawan Hain Ke Namazi Na Rahe...!<
'*'.
Yani Woh Sahib-e-Ausaf-e-Hijazi Na Rahe...!<
'*'
Shor Hai Ho Gaye Dunya Se Musalman Nabood...!<
'*'.
Hum Ye Kehte Hain Ke The Bhi Kahin Muslim Maujood!...!<
'*'.
Waza Mein Tum Ho Nisara, Tau Tamaddun Mein Hanood,...!<
'*'.
Yeh Musalman Hain! Jinhain Dekh Ke Sharmaen Yahood?...!<
'*'.
Yun To Syed Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi Ho...!<
'*'.
Tum Sabhi Kuch Ho, Batao To Musalman Bhi Ho!...!<
'*'.
Dam-e-Taqreer Thi Muslim Ki Sadaqat Bebak...!<
'*'.
Adal Uss Ka Tha Qawi, Loos-e-Mara'at Se Pak...!<
'*'.
Shajar-e-Fitrat-e-Muslim Tha Haya Se Namnak...!<
'*'.
Tha Shujaat Mein Woh Ek Hasti-e-Fouq-Ul-Idraak...!<
'*'.
Khud Gudazi Nam-e-Kaifiat-e-Sehbayesh Bood...!<
'*'.
Khali Az Khawaish Shudan Soorat-e-Meenayesh Bood...!<
'*'.
Har Musalman Rag-e-Batil Ke Liye Nashtar Tha...!<
'*'.
Uss Ke Aaeena-e-Hasti Mein Amal Jouhar Tha...!<
'*'
Jo Bharosa Tha Usse Quwwat-e-Bazoo Par Tha...!<
'*'.
Hai Tumhain Mout Ka Dar, Uss Ko Khuda Ka Dar Tha...!<
'*'.
Baap Ka Ilm Na Bete Ko Agar Azbar Ho...!<
'*'.
Phir Pisar Qabil-e-Miraas-e-Pidar Kyunkar Ho!...!<
'*'.
Har Koi Mast-e-Mai-e-Zauq-e-Tan Asani Hai,...!<
'*'.
Tum Musalman Ho? Ye Andaaz-e-Musalmani Hai?...!<
'*'.
Haidari Faqr Hai Ne Doulat-e-Usmani Hai...!<
'*'.
Tum Ko Aslaaf Se Kya Nisbat-e-Rohani Hai?...!<
'*'.
Woh Zamane Mein Mu'azzaz The Musalman Ho Kar...!<
'*'.
Aur Tum Khawar Huwe Taarik-e-Quran Ho Kar...!<
'*'.
Tum Ho Apas Mein Ghazabnak, Woh Apas Mein Raheem...!<
'*'.
Tum Khatakaar-o-Khatabeen, Woh Khata Posh-o-Kareem...!<
'*'.
Chahte Sub Hain Ke Hon Auj-e-Surayya Pe Muqeem,...!<
'*'.
Pehle Waisa Koi Paida Tau Kare Qalb-e-Salim!...!<
'*'
Takht-e-Faghfoor Bhi Un Ka Tha, Sareer-e-Ke Bhi...!<
'*'.
Yunhi Baatain Hain Ke Tum Mein Woh Hameeyyat Hai Bhi?...!<
'*'.
Khudkushi Shewa Tumhara, Woh Ghayoor-o-Khuddar...!<
'*'.
Tum Akhuwat Se Gurezan, Woh Akhuwat Pe Nisar...!<
'*'.
Tum Ho Guftar Sarapa, Woh Sarapa Kirdar...!<
'*'.
Tum Taraste Ho Kali Ko, Woh Gulistan Bah Kinar...!<
'*'.
Ab Talak Yaad Hai Qoumon Ko Hikayat Un Ki...!<
'*'.
Naqsh Hai Safah-e-Hasti Pe Sadaqat Un Ki...!<
'*'.
Misl-e-Anjum Ufaq-e-Qoum Pe Roshan Bhi Huwe...!<
'*'.
But-e-Hindi Ki Mohabbat Mein Barhman Bhi Huwe...!<
'*'.
Shauq-e-Parwaz Mein Mehjoor-e-Nasheman Bhi Huwe...!<
'*'.
Be-Amal The Hi Jawan, Deen-e-Se Badzan Bhi Huwe...!<
'*'.
In Ko Tehzeeb Ne Har Bande Se Azad Kiya...!<
'*'.
La Ke Kaabe Se Sanamkhane Mein Abad Kiya...!<
'*'
Qais Zehmat Kash-e-Tanhai-e-Sehra Na Rahe...!<
'*'.
Shehr Ki Khaye Huwa, Bad Ye Pema Na Rahe!...!<
'*'.
Woh To Diwana Hai, Basti Mein Rahe Ya Na Rahe...!<
'*'.
Ye Zaroori Hai Hijab-e-Rukh-e-Laila Na Rahe!...!<
'*'.
Gila-e-Jor Na Ho, Shikwa-e-Baidad Na Ho...!<
'*'.
Ishq Azad Hai, Kyun Husn Bhi Azad Na Ho!...!<
'*'.
Ehd-e-Nau Barq Hai, Aatish Zan-e-Har Khirman Hai...!<
'*'.
Ayman Is Se Koi Sehra No Koi Gulshan Hai...!<
'*'.
Is Nayi Aag Ka Aqwam-e-Kuhan Indhan Hai...!<
'*'.
Millat-e-Khatam-e-Rusal (S.A.W.) Shaola Ba Perahan Hai...!<
'*'.
Aaj Bhi Jo Baraheem (A.S.) Ka Imaan Paida...!<
'*'.
Aag Kar Sakti Hai Andaz-e-Gulistan Paida...!<
'*'.
Dekh Kar Rang-e-Chaman Ho Na Pareshan Mali...!<
'*'.
Koukab-e-Ghuncha Se Shakhain Hain Chamakne Wali...!<
'*'
Khas-o-Khashaak Se Hota Hai Gulistan Khali...!<
'*'.
Gul Bar Andaaz Hai Khoon-e-Shuhada Ki Laali...!<
'*'.
Rang Gardoon Ka Zara Dekh Tau Unnabi Hai...!<
'*'.
Yeh Nikalte Huwe Suraj Ki Ufaq Taabi Hai...!<
'*'.
Ummatain Gulshan-e-Hasti Mein Samar Cheeda Bhi Hain...!<
'*'.
Aur Mehroom-e-Samar Bhi Hain, Khazan Didah Bhi Hain...!<
'*'.
Saikron Nakhl Hain, Kaheeda Bhi, Baleeda Bhi Hain...!<
'*'.
Saikron Batan-e-Chaman Mein Abhi Poshida Bhi Hain...!<
'*'.
Nakhl-e-Islam Namoona Hai Bru-Mandi Ka...!<
'*'.
Phal Hai Ye Saikron Saalon Ki Chaman Bandi Ka...!<
'*'.
Pak Hai Gard-e-Watan Se Sirr-e-Daman Tera...!<
'*'.
Tu Woh Yousaf Hai Ke Har Misr Hai Kinaan Tera...!<
'*'.
Qafila Ho Na Sake Ga Kabhi Weeran Tera...!<
'*'.
Ghair Yak Bang-e-Dara Kuch Nahin Saman Tera...!<
'*'
Nakhl-e-Shama Asti-o-Dar Shaola Dawad Resha-e-Tu...!<
'*'.
Aaqbat Soz Bawad Saya-e-Andesha-e-Tu...!<
'*'.
Tu Na Mit Jaye Ga Iran Ke Mit Jane Se...!<
'*'.
Nasha-e-Mai Ko Ta'aluq Nahin Pemane Se...!<
'*'.
Hai Ayan Yorish-e-Tataar Ke Afsane Se...!<
'*'.
Pasban Mil Gaye Kaabe Ko Sanam Khane Se...!<
'*'.
Kashti-e-Haq Ka Zamane Mein Sahara Tu Hai...!<
'*'.
Asr-e-Nau Raat Hai, Dhundla Sa Sitara Tu Hai...!<
'*'.
Hai Jo Hangama Bipa Yorish-e-Balghari Ka...!<
'*'.
Ghafilon Ke Liye Pegham Hai Baidari Ka...!<
'*'.
Tu Samajhta Hai Ye Saman Hai Dil Aazari Ka...!<
'*'.
Imtihan Hai Tere Isaar Ka, Khud-Dari Ka...!<
'*'.
Kyun Harasan Hai Saheel-e-Faras-e-Aada Se...!<
'*'.
Noor-e-Haq Bujh Na Sake Ga Nafs-e-Aada Se...!<
'*'
Chashme-e-Aqwam Se Makhfi Hai Haqiqat Teri...!<
'*'.
Hai Abhi Mehfil-e-Hasti Ko Zaroorat Teri...!<
'*'.
Zinda Rakhti Hai Zamane Ko Hararat Teri...!<
'*'.
Koukab-e-Qismat-e-Imkan Hai Khilafat Teri...!<
'*'.
Waqt-e-Fursat Hai Kahan, Kaam Abhi Baqi Hai...!<
'*'.
Noor-e-Touheed Ka Itmam Abhi Baqi Hai...!<
'*'.
Misl-e-Bu Qaid Hai Ghunche Mein, Preshan Ho Ja...!<
'*'.
Rakht Bar Dosh Hawaye Chamanistan Ho Ja...!<
'*'.
Hai Tunk Maya To Zarre Se Byaban Ho Ja...!<
'*'.
Naghma-e-Mouj Se Hangama-e-Toofan Ho Ja!...!<
'*'.
Quwwat-e-Ishq Se Har Past Ko Bala Kar De...!<
'*'.
Dehr Mein Ism-e-Muhammad (S.A.W.) Se Ujala Kar De...!<
'*'.
Ho Na Ye Phool To Bulbul Ka Tarannum Bhi Na Ho...!<
'*'.
Chaman-e-Dehr Mein Kaliyon Ka Tabassum Bhi Na Ho...!<
'*'
Ye Na Saqi Ho To Phir Mai Bhi Na Ho, Khum Bhi Na Ho...!<
'*'.
Bazm-e-Touheed Bhi Dunya Mein Na Ho, Tum Bhi Na Ho...!<
'*'.
Khema Aflak Ka Istada Issi Naam Se Hai...!<
'*'.
Nabz-e-Hasti Tapish Aamadah Issi Naam Se Hai...!<
'*'.
Dasht Mein, Daman-e-Kuhsar Mein, Maidan Mein Hai...!<
'*'.
Behr Mein, Mouj Ki Aghosh Mein, Toofan Mein Hai...!<
'*'.
Cheen Ke Shehr, Maraqash Ke Byaban Mein Hai...!<
'*'.
Aur Poshida Musalman Ke Iman Mein Hai...!<
'*'.
Chashm-e-Aqwam Ye Nazara Abad Tak Dekh...!<
'*'.
Riffat-e-Shan-e-Rafaana La Ka Zikrak Dekhe...!<
'*'.
Mardam-e-Chashm-e-Zameen Yani Woh Kali Dunya...!<
'*'.
Woh Tumhare Shuhada Palne Wali Dunya...!<
'*'
Garmi-e-Mehr Ki Parwarda Hilali Dunya...!<
'*'.
Ishq Wale Jise Kehte Hain Bilali Dunya...!<
'*'.
Tapish Andoz Hai Iss Naam Se Paare Ki Tarah...!<
'*'.
Ghouta Zan Noor Mein Hai Aankh Ke Tare Ki Tarah...!<
'*'.
Aqal Hai Teri Sipar, Ishq Hai Shamsheer Teri...!<
'*'.
Mere Darvaish! Khilafat Hai Jahangeer Teri...!<
'*'.
Ma Siwa Allah Ke Liye Aag Hai Takbeer Teri...!<
'*'.
Tu Musalman Ho To Taqdeer Hai Tadbeer Teri...!<
'*'.
Ki Muhammed (S.A.W.) Se Wafa Tu Ne Tau Hum Tere Hain...!<
'*'.
Yeh Jahan Cheez Hai Kya, Loh-o-Qalam Tere Hain...!<
'*'
~~>END<~~
KHAKI*G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya