Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday 25 May 2012

Shikwa

'*"THE COMPLAINT"*'
'*"*Shikwa*"*'
Po@t Sir Dr Allama Iqbal
 TANHA_KHAKI
'*'
Kyun Ziyaan Kaar Banun, Sood Framosh Rahun...!<
'*'.
Fikr-e-Farda Na Karum, Mahw-e-Ghum-e-Dosh Rahun...!<
'*'.
Naale Bulbul Ke Sunoon, Aur Hama Tan Gosh Rahun...!<
'*'.
Humnawa Main Bhi Koi Gul Hun Ke Khamosh Rahun...!<
'*'.
Jurrat Aamoz Miri Taab-e-Sakhun Hai Mujh Ko...!<
'*'.
Shikwa Allah Se Khakam Badahan Hai Mujh Ko...!<
'*'.
Hai Baja Shewa-e-Tasleem Mein Mashoor Hain Hum...!<
'*'.
Qissa-e-Dard Sunate Hain Ke Majboor Hain Hum...!<
'*'.
Saaz-e-Khamosh Hain, Faryad Se Maamoor Hain Hum...!<
'*'.
Nala Ata Hai Agar Lab Pe To Maazoor Hain Hum...!<
'*'.
Ae Khuda Shikwa-e-Arbab-e-Wafa Bhi Sun Le...!<
'*'.
Khugar-e-Hamd Se Thora Sa Gila Bhi Sun Le...!<
'*'
Thi To Maujood Azal Se Hi Teri Zaat-e-Qadim...!<
'*'.
Phool Tha Zaib-e-Chaman, Par Na Preshan Thi Shamim...!<
'*'.
Shart Insaaf Hai, Ae Sahib-e-Altaf-e-Amim...!<
'*'.
Boo-e-Gul Phailti Kis Tarah Jo Hoti Na Nasim...!<
'*'.
Hum Ko Jamiat-e-Khatir Ye Preshani Thi...!<
'*'.
Warna Ummat Tere Mehboob (S.A.W.) Ki Diwani Thi...!<
'*'.
Hum Se Pehle Tha Ajab Tere Jahan Ka Manzar...!<
'*'.
Kahin Masjood The Pathar, Kahin Maabood Shajar...!<
'*'.
Khugar-e-Paikar-e-Mahsoos Thi Insaan Ki Nazar...!<
'*'.
Manta Phir Koi Un-Dekhe Khuda Ko Kyunkar...!<
'*'.
Tujh Ko Maalum Hai Leta Tha Koi Naam Tera?...!<
'*'.
Quwwat-e-Baazoo-e-Muslim Ne Kiya Kaam Tera...!<
'*'.
Bas Rahe The Yahin Saljuq Bhi, Toorani Bhi...!<
'*'.
Ahl-e-Chin Cheen Mein, Iran Mein Sasaani Bhi...!<
'*'Issi Maamoore Mein Aabad The Yoonani Bhi...!<
'*'.
Issi Dunya Mein Yahudi Bhi The, Nusraani Bhi...!<
'*'.
Par Tere Naam Pe Talwar Uthai Kis Ne...!<
'*'.
Baat Jo Bigri Huwi Thi, Woh Banaai Kis Ne...!<
'*'.
Thay Hameen Ek Tire Maarka Aaraaon Mein!...!<
'*'.
Khushkion Mein Kabhi Larte, Kabhi Dariyaon Mein,...!<
'*'.
Deen Azaanen Kabhi Europe Ke Kaleesaaon Mein...!<
'*'.
Kabhi Africa Ke Tapte Huwe Sehraaon Mein....!<
'*'.
Shan Ankhon Mein Na Jachti Thi Jahan Daron Ki...!<
'*'.
Kalima Parhte The Hum Chaon Mein Talwaron Ki...!<
'*'.
Hum Jo Jeete Thay To Jnagon Ki Musibat Ke Liye...!<
'*'.
Aur Merte Thay Tere Naam Ki Azmat Ke Liye...!<
'*'
Thi Na Kuch Taeg-Zani Apni Hukumat Ke Liye...!<
'*'.
Sar-Bakaf Phirte The Kya Dehar Mein Doulat Ke Liye...!<
'*'.
Qaum Apni Jo Zar-o-Maal-e-Jahan Par Marti,...!<
'*'.
But Faroshi Ke Iwaz But Shikni Kyon Karti?...!<
'*'.
Tal Na Sakte The Agar Jang Mein Arh Jate The...!<
'*'.
Paon Sheron Ke Bhi Maidan Se Ukhar Jate The...!<
'*'.
Tujh Se Sarkash Huwa Koi To Bighar Jate The...!<
'*'.
Taeg Kya Cheez Hai, Hum Toup Se Larh Jate The...!<
'*'.
Naqsh Tauheed Ka Har Dil Pe Bithaya Hum Ne...!<
'*'.
Zer-e-Khanjar Bhi Yeh Paigham Sunaya Hum Ne...!<
'*'.
Tu Hi Keh De Ke Ukhara Dar-e-Khyber Kis Ne...!<
'*'.
Sheher Qaiser Ka Jo Tha, Us Ko Kiya Sar Kis Ne...!<
'*'.
Tore Makhluq Khudawandon Ke Paikar Kis Ne...!<
'*'.
Kaat Kar Rakh Diye Kuffaar Ke Lashkar Kis Ne...!<
'*'.
Kis Ne Thanda Kiya Atishkuda-e-Iran Ko?...!<
'*'.
Kis Ne Phir Zinda Kiya Tazkara-e-Yazdaan Ko?...!<
'*'.
Kon Si Qoum Faqat Teri Talabgar Huwi...!<
'*'.
Aur Tere Liye Zehmat Kash-e-Paikaar Huwi...!<
'*'.
Kis Ki Shamsheer Jahangeer, Jahandar Huwi...!<
'*'.
Kis Ki Takbeer Se Dunya Teri Baidar Huwi...!<
'*'.
Kis Ki Haibat Se Sanam Sehme Huwe Rehte The...!<
'*'.
Munh Ke Bal Gir Ke 'HU WA-ALLAH HU AHAD' Kehte The...!<
'*'.
Aa Gaya Ain Laraai Mein Agar Waqt-e-Namaz...!<
'*'.
Qibla Ru Ho Ke Zameen Bos Huwi Qoum-e-Hijaz...!<
'*'.
Ek Hi Saf Mein Khare Ho Gaye Mahmood-o-Ayaz,...!<
'*'.
No Koi Banda Raha Aur Na Koi Banda Nawaz...!<
'*'.
Banda-o-Sahib-o-Mauhtaaj-o-Ghani Aik Huwe...!<
'*'.
Teri Sarkar Mein Pohanche To Sabhi Aik Huwe...!<
'*'
Mehfil-e-Kon-o-Makan Mein Sehar-o-Sham Phire...!<
'*'.
Mai-e-Tauheed Ko Lekar Sifat-e-Jam Phire...!<
'*'.
Koh Mein, Dasht Mein Le Kar Tera Pegham Phire...!<
'*'.
Aur Maaloom Hai Tujh Ko, Kabhi Nakaam Phire !...!<
'*'.
Dasht To Dasht Hain, Darya Bhi Na Chhore Hum Ne...!<
'*'.
Bahr-e-Zulmaat Mein Daura Diye Ghore Hum Ne...!<
'*'.
Safah-e-Dahar Se Baatil Ko Mitaya Hum Ne...!<
'*'.
Nau-e-Insaan Ko Ghulami Se Chhuraya Hum Ne...!<
'*'.
Tere Kaabe Ko Jabeenon Se Basaya Hum Ne...!<
'*'.
Tere Quran Ko Seenon Se Lagaya Hum Ne...!<
'*'.
Phir Bhi Hum Se Yeh Gila Hai Ke Wafadar Nahin...!<
'*'.
Hum Wafadar Nahin, Tu Bhi To Dildar Nahin!...!<
'*'.
Ummatain Aur Bhi Hain, In Mein Gunahgar Bhi Hain...!<
'*'.
Ejz Wale Bhi Hain, Mast-e-Mai-e-Pindar Bhi Hain...!<
'*'
In Mein Kahil Bhi Hain, Ghafil Bhi Hain, Hushyar Bhi Hain...!<
'*'.
Saikron Hain Ke Tere Naam Se Baizar Bhi Hain...!<
'*'.
Rehmatain Hain Teri Aghiyar Ke Kashaanon Par...!<
'*'.
Barq Girti Hai To Bechare Musalmanon Par...!<
'*'.
Boott Sanam Khanon Mein Kehte Hain, Musalman Gye...!<
'*'.
Hai Khushi In Ko Ke Kaabe Ke Nigehban Gye...!<
'*'.
Manzil-e-dehr Se Unthon Ke Hudi Khawan Gye...!<
'*'.
Apni Baghlon Mein Dabaye Huwe Quran Gye...!<
'*'.
Khandah Zan Kufr Hai, Ehsas Tujhe Hai Ke Nahin...!<
'*'.
Apni Touheed Ka Kuch Paas Tujhe Hai Ke Nahin...!<
'*'.
Ye Shikayatt Nahin, Hain Un Ke Khazane Maamur...!<
'*'.
Nahin Mehfil Mein Jinhain Baat Bhi Karne Ka Shaur...!<
'*'.
Qehar To Ye Hai Ke Kafir Ko Milain Hoor-o-Qasoor...!<
'*'.
Aur Bechare Musalman Ko Faqat Wada-e-Hoor...!<
'*'.
Ab Woh Altaf Nahin, Hum Pe Anayat Nahin...!<
'*'.
Baat Ye Kya Hai Ke Pehli Si Madarat Nahin...!<
'*'.
Kyun Musalmanon Mein Hai Doulat-e-Dunya Nayaab...!<
'*'.
Teri Qudrat To Hai Woh Jis Ki Na Had Hai Na Hisab...!<
'*'.
Tu Jo Chahe To Uthe Seena-e-Sehra Se Habab...!<
'*'.
Rahroo-e-Dasht Ho Seeli Zada Mouj-e-Saraab...!<
'*'.
Taan-e-Aghiyaar Hai, Ruswai Hai, Nadaari Hai...!<
'*'.
Kya Tere Nam Pe Marne Ka Iwaz Khwari Hai?...!<
'*'.
Bani Aghyar Ki Ab Chahne Wali Dunya...!<
'*'.
Reh Gyi Apne Liye Aik Khiyali Dunya...!<
'*'.
Hum To Rukhsat Huwe, Auron Ne Sanbhali Dunya...!<
'*'.
Phir Na Kehna Huwi Touheed Se Khali Dunya...!<
'*'.
Hum Tau Jeete Hain Ke Duniya Mein Tira Naam Rahe,...!<
'*'.
Kahin Mumkin Hai Saqi Na Rahe, Jaam Rahe?...!<
'*'
Teri Mehfil Bhi Gai, Chahne Walw Bhi Gaye,...!<
'*'.
Shab Ki Aahen Bhi Gaien, Subah Ke Nale Bhi Gaye,...!<
'*'.
Dil Tujhe Debhi Gaye, Apna Sila Le Bhi Gaye...!<
'*'.
Aa Ke Baithe Bhi Na The, Ke Nikaale Bhi Gaye....!<
'*'.
Aae Ushaaq, Gaye Waada-e-Farda Lekar...!<
'*'.
Ab Unhen Dhoond Charag-e-Rukh-e-Zeba Lekar...!<
'*'.
Dard-e-Laila Bhi Wohi, Qais Ka Pahlu Bhi Wohi...!<
'*'.
Nejd Ke Dasht-o-Jabal Mein Ram-e-Aahoo Bhi Wohi...!<
'*'.
Ishq Ka Dil Bhi Wohi, Husn Ka Jaadoo Bhi Wohi...!<
'*'.
Ummat-e-Ahmed-e-Mursil Bhi Wohi, Tu Bhi Wohi...!<
'*'.
Phir Yeh Aazurdagi-e-Ghair-Sabab Kya Maani...!<
'*'.
Apne Shaidaaon Pe Yeh Chashm-e-Ghazab Kya Maani?...!<
'*'.
Tujh Ko Chora Ke Rasool-e-Arabi (S.A.W.) Ko Chora...!<
'*'.
Boutgari Paisha Kiya, Bout Shikani Ko Chora?...!<
'*'
Ishq Ko, Ishq Ki Ashuftah-Sari Ko Chora?...!<
'*'.
Rasm-e-Salman (R.A.)-o-Awais-e-Qarani (R.A.) Ko Chora?...!<
'*'.
Aag Takbeer Ki Seenon Mein Dabi Rakhte Hain...!<
'*'.
Zindagi Misl-e-Bilal-e-Habshi (R.A.) Rakhte Hain...!<
'*'.
Ishq Ki Khair, Who Pehli Si Ada Bhi Na Sahi...!<
'*'.
Jaada Paimaai Taslim-o-Raza Bhi Na Sahi...!<
'*'.
Muztarib Dil Sifat-e-Qibla Nama Bhi Na Sahi...!<
'*'.
Aur Pabandi-e-Aaeen-e-Wafa Bhi Na Sahi...!<
'*'.
Kabhi Hum Se, Kabhi Ghairon Se Shanasaai Hai...!<
'*'.
Baat Kehne Ki Nahin, Tu Bhi To Harjaai Hai...!<
'*'.
Sar-e-Faran Pe Kiya Deen Ko Kamil Tu Ne...!<
'*'.
Ek Ishare Mein Hazaron Ke Liye Dil Tu Ne...!<
'*'.
Atish Andoz Kiya Ishq Ka Hasil Tu Ne...!<
'*'.
Phoonk Di Garmi-e-Rukhsar Se Mehfil Tu Ne...!<
'*'
Aaj Kyun Seene Humare Sharar Abad Nahin...!<
'*'.
Hum Wohi Sokhta Saman Hain, Tuhe Yaad Nahin?...!<
'*'.
Wadi-e-Najd Mein Woh Shor-e-Silasil Na Raha...!<
'*'.
Qais Diwana-e-Nazara Mehmil Na Raha...!<
'*'.
Hosle Woh Na Rahe, Hum Na Rahe, Dil Na Raha...!<
'*'.
Ghar Ye Ujhra Hai Ke Tu Ronaq-e-Mehfil Na Raha...!<
'*'.
Ae Khush Aan Roz Ke Ayi-o-Bsad Naz Ayi...!<
'*'.
Be-Hijabana Soo'ay Mehfil-e-Ma Baaz Ayi...!<
'*'.
Badahkash Gair Hain Gulshan Mein Lab-e-Joo Baithe...!<
'*'.
Sunte Hain Jaam Bakaf Naghma-e-Kuku Baithe...!<
'*'.
Door Hungama-e-Gulzar Se Yak Soo Baithe...!<
'*'.
Tere Diwane Bhi Hain Muntazir 'Hoo' Baithe...!<
'*'.
Apne Parwanon Ko Phir Zauq-e-Khud Afrozi De...!<
'*'.
Barq-e-Dairina Ko Farman-e-Jigar Sozi De...!<
'*'
Qoum-e-Awara Anaa Taab Hai Phir Soo'ay Hijaz...!<
'*'.
Le Ura Bulbul-e-Be Par Ko Mazak-e-Parwaz...!<
'*'.
Muztarib Bagh Ke Har Ghunche Mein Hai Boo'ay Niaz...!<
'*'.
Tu Zara Chair To De, Tashna-e-Mizrab Hai Saaz...!<
'*'.
Naghme Betaab Hain Taron Se Niklne Ke Liye...!<
'*'.
Toor Muztar Hai Ussi Aag Mein Jalne Ke Liye...!<
'*'.
Mushkalain Ummat-e-Marhoom Ki Asan Kar De...!<
'*'.
Moor-e-Bemaya Ko Humdosh-e-Suleman Kar De...!<
'*'.
Jins-e-Nayaab-e-Mohabbat Ko Phir Arzaan Kar De...!<
'*'.
Hind Ke Dair Nasheenon Ko Musalman Kar De...!<
'*'.
Joo'ay Khoon Mee Chakad Az Hasrat-e-Dairina-e-Maa...!<
'*'.
Mee Tapd Nala Ba Nashtar Kadah-e-Seena-e-Maa...!<
'*'.
Boo-e-Gul Le Gyi Bairun-e-Chaman Raaz-e-Chaman...!<
'*'.
Kya Qayamat Hai Ke Khud Phool Hain Ghammaz-e-Chaman...!<
'*'
Ahd-e-Gul Khatam Hua, Tut Gaya Saaz-e-Chaman,...!<
'*'.
Ur Gaye Dalion Se Zamzama Pardaaz-e-Chaman....!<
'*'.
Ek Bulbul Hai Ke Hai Mahw-e-Tarannum Ab Tak,...!<
'*'.
Us Ke Seene Mein Hai Naghmon Ka Talatam Ab Tak....!<
'*'.
Qumrian Shaakh-e-Sanober Se Gurezaan Bhi Huin,...!<
'*'.
Pattian Phool Ki Jhar Jhar Ke Pareshan Bhi Huin;...!<
'*'.
Who Purani Ravishen Bagh Ki Weeran Bhi Huin...!<
'*'.
Daalian Parahan-e-Barg Se Uriaan Bhi Huin....!<
'*'.
Qaid-e-Mausim Se Tabiat Rahi Aazad Uski...!<
'*'.
Kaash Gulshan Mein Samjhta Koi Faryaad Uski...!<
'*'.
Lutf Merne Main Hai Baqi, Na Maza Jeene Mein...!<
'*'.
Kuch Maza Hai To Yehi Khoon-e-Jigar Peene Mein...!<
'*'.
Kitne Betaab Hain Jouhar Mere Aaeene Mein...!<
'*'.
Kis Qadar Jalwe Tarapte Hain Mere Seene Mein...!<
'*'
Iss Gulistan Mein Magar Dekhne Wale Hi Nahin...!<
'*'.
Dagh Jo Seene Mein Rakhte Hun, Woh Lale Hi Nahin...!<
'*'.
Chaak Iss Bulbul-e-Tanha Ki Nawa Se Dil Hon...!<
'*'.
Jaagne Wale Issi Bang-e-Dara Se Dil Hon...!<
'*'.
Yani Phir Zinda Naye Ehd-e-Wafa Se Dil Hon...!<
'*'.
Phir Issi Bada-e-Deerina Ke Pyaase Dil Hon...!<
'*'.
Ajami Khum Hai To Kya, Mai To Hijazi Hai Meri...!<
'*'.
Naghma Hindi Hai To Kya, Lai To Hijazi Hai Meri...!<
'*'.
~~>END<~~
KHAKI*G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya