Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Chaman Chaman Phire Magar, PhoOl ka Pata Nahi RAZAB TABREZ



PO@T RAZAB TABREZ
+
***IMRAN KHAKI***
+
Chaman Chaman Phire Magar, PhoOl ka Pata Nahi
+
Chubhan Abhi Hayat hai, ShoOl ka Pata Nahi
+
Kisne Kisko ko di yahan, iski Kuch Khabar Nahi
+
Saza Hi Dekhte rahe, Ma'zoOl ka Pata Nahi
+
Hadsa To Hogya, Ab ye Dekhna Yahan
+
Gham to Thehar Jaeyga, MaloOl ka Pata Nahi
+
Ulfaton k Deen par, iMan youn Utha lia
+
Mazhab ki Mante rahe, RasoOl ka Pata Nahi
+
Mera Naam Sun k koi, Sar Hila k Reh Gya
+
Ejaab Kar lia Gya, Qabul ka Pata Nahi
+
Itna Janta hun ! K, Wahi sa Mujh pe Chhap Gya
+
Dil me Kab Utar Gya, NazoOl ka Pata Nahi
+
Paon lekin Uth gay, Chahe in k Hath kuch
+
Hasil e Jama Nahi, HasoOl ka Pata Nahi
+
Husan Parast Shayaron me, Ye Ajib Aib Tha
+
Rung e Bagh le gay, BaboOl ka Pata Nahi
+
Chehra e RAZAB ki Yehi, Aik Do Nishaniyan
+
Salwatten Hen laaZman ! DhoOl ka Pata Nahi
==>END<==
KHAKI*G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya