Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Mere Dil Ki Ye Hairani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai Kashif Nadeem


Poet Kashif Nadeem
+
Type By    *.___HIJAR___.*
+
Mere Dil Ki Ye Hairani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai,
+
Gham-E-Dil Ki Pareshani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai,
+
Hazaron Inqalab Aay Hazaron Mehfalain Ujrain,
+
Mah-E-Anjam Ki Ta Bani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai,
+
Tapakti Hai Sharab-E-Rang-O-Boo Har Gul K SAGHAR Se,
+
Chaman Mein Shambnam Afshani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai,
+
Charagh-E-Dil Bujha Kar Rakh Dia Halaat Ne Phir Bhi,
+
Tere Chehre Ki Tabani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai,
+
Faraib-E-Wada Par Un k Yaqeen Karna Hi Parta Hai,
+
Hum Ahl-E-Dil Ki Nadani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai,
+
Jahan Aarzo Mein Aaj Bhi Kalian Hi Kalian Hain,
+
Talab Ki Tang Damani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai,
+
Bazahir Mutmain Chehre Se Hai Har Insan,
+
K A S H I F
+
Magar Zehno Ki Jo Aryani Jo Pehle Thi Wo Ab Bhi Hai............!
khaki_G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya