Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

EK Larki Hai PariyOn Jesi, Us k Peeche Chand aur Main RAZAB TABREZ


PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***

EK Larki Hai PariyOn Jesi, Us k Peeche Chand aur Main
Uski Yaad ka JhoOla JhoOlen, Upar Neeche Chand aur Main

Us k iklOte, Aweza ! khaal pe Shbnam Naz kre
Us Shbnam ko ChoOmen Chaaten, Ankhen Meeche Chand aur Main

Jisko Wo Pechan me laey, Usko Hr Koi Khas rakhe
Uski Ankh k sUb Deewane, Bagh Bagheeche Chand aur Main

Us Pekar ka Dil Behlaen, Us Pekar k Sath rahen
Us Pekar k Dayen Bayen, Agay Peeche Chand Aur Main

Us k Pair ki Chhu se Niklen, Champa Ambar, SoOndhi Khaq
Uski Rah me Bichte Jaen, Surkh Ghaleechay Chand aur Main

Uski Dhun me Aangan Utren, Dono Chhat se KoOd k Roz
Apni Neend se Apna ! Daman Kheenche, Chand aur Main

Meethe ZakhmOn k Tohfe hen, Raat k ye Khush Rung Azaab
Dheere Dheere Sehte Jaen, Hont ko Bheenche Chand aur Main

RAZAB ki Aaj ye Shart lgi hai, "Kis se Wo Sharmaey Gi ?"
Aik si Kirnen Phenk rhe hen, NoOr ko Seenche Chand aur Main<~~
Khaki.G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya