Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

ek Larki Hai PariyOn Jesi, Us k Peeche Chand aur Main RAZAB TABREZ


PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***

ek Larki Hai PariyOn Jesi, Us k Peeche Chand aur Main

Uski Yaad ka JhoOla JhoOlen, Upar Neeche Chand aur Main

Us k iklOte, Aweza ! khaal pe Shbnam Naz kre

Us Shbnam ko ChoOmen Chaaten, Ankhen Meeche Chand aur Main

Jisko Wo Pechan me laey, Usko Hr Koi Khas rakhe

Uski Ankh k sUb Deewane, Bagh Bagheeche Chand aur Main

Us Pekar ka Dil Behlaen, Us Pekar k Sath rahen

Us Pekar k Dayen Bayen, Agay Peeche Chand Aur Main

Us k Pair ki Chhu se Niklen, Champa Ambar, SoOndhi Khaq

Uski Rah me Bichte Jaen, Surkh Ghaleechay Chand aur Main

Uski Dhun me Aangan Utren, Dono Chhat se KoOd k Roz

Apni Neend se Apna ! Daman Kheenche, Chand aur Main

Meethe ZakhmOn k Tohfe hen, Raat k ye Khush Rung Azaab

Dheere Dheere Sehte Jaen, Hont ko Bheenche Chand aur Main

RAZAB ki Aaj ye Shart lgi hai, "Kis se Wo Sharmaey Gi ?"

Aik si Kirnen Phenk rhe hen, NoOr ko Seenche Chand aur Main.
Khaki.G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya