Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Jo Dekhe ! Usi ko hi Darkaar Hogi RAZAB TABREZ


Po@t  RAZAB TABREZ
'*"*IMRAN KHAKI*"*'
'*'.
Jo Dekhe ! Usi ko hi Darkaar Hogi
'
Wo Neelam Nahi Hai, To Shehwar Hogi
'
Do ZarnaB Ankhon k Upar Guzarti
'
Sunehri Shuaon ki ik Daarr ho gi
'
Jo Smjho ! Mujhe Tum, Ghyaz e Tabasum
'
To laZim hai, Wo aik Rukhsaar hogi
'
Chup ki Zuban me, Jo Alfaz Likhe
'
Faseeha se Behtar, Wo Guftaar hogi
'
Khule Gar ! Farstada Zulf e Khamida
'
Shafaq me, Syahi ka Asaar Hogi
'
Shakh e Badan pe, Wo Wartaaj Mukhra
'
Hansi Jis pe Thehre, To Shahkaar hogi
'
Moti se Qatron me, Behti ye Chahat
'
Neeli NasSon me, Samar Baar hogi
'
Yakin Mujhse Kehta hai, Aaey ga ik Din
'
Anchal ! Tu Hoga, Wo Zar Taar Hogi
'
Nahi ! Ye kisi k Bhi Tab'a Nahi hai
'
Mhbt Jahan hogi, Khudkaar hogi
'
Aa Kafir Qalab ! Tujhko Hikmat Sikhaun
'
Darr hai ! Wo Teri hi Bimar Hogi
'
RAZAB ka likha, Zakhm Khao To Smjho
'
Wagrna ! Ghazal Thori Dushwar hogi<~~
Khaki.G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya