Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Jo is ne kaha wo Main ne kia, Main Nafs ka ab MaqroOz Nahi RAZAB TABREZ


POET RAZAB TABREZ ON 14.8.11
***IMRAN KHAKI***

Jo is ne kaha wo Main ne kia, Main Nafs ka ab MaqroOz Nahi
Main Khali hogya andr se, Main Dil ka Bura HanoOz Nahi

Koi Baahar se Mujhe lOot gya, Ya Hath laga Main Khwahish k
Isi Pesh o Pas  me rehta hun, Mera Faisla kyun Mehfuz Nahi

Jo Jhailta hun Wohi likhta hun, Mera QisSon par iMan Nahi
Main Fasana Go Nahi ! Shayar hun, Mera Qalm kisi se Ma'khooz Nahi

Main Shokhi Aur Shararat se, Zra Door k Gaon rehta hun
Main Khushi se Ansu Peeta hun, Main Hansi se kuch Mehzuz Nahi

Main Neela, Ya Sabzi Maayal, Bus 2 hi Rung Bnata hun
Meri Apni Aasteenen hen, Mujhe Ghair ka Zehar MalhoOz Nahi

Main Jug k Melay se Munkir, Mujhe Eid Nahi Shabrat Nahi
Main Apne Wajd me rehta hun, Mera aur kahin Ma'roOz Nahi

Main ! RAZAB Tujhhe bhi Janta hun, Baray lafZi Jaal Bnate ho
Main Dekhta hun Tujhe Andar Tak, Meri Ankh ! Bhalay MarkoOz Nahi
KHAKIG

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya