Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Jo Mera Dill Lubhata raha, Neel Kanwal tha RAZAB TABREZ


PO@t RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***

Jo Mera Dill Lubhata raha, Neel Kanwal tha
Woh Mery liye Aankh se, Masroof-e-Amal tha.

Ek Doosry k Fun pe, Hum ko Dastarass rahi,
Main Phool Us k Gaal ka, Woh Meri Ghazal tha.

Lehek me PurWaqaar Tha, Mehek me Shaandaar,
Woh Sar'Ba'Sar! Bahaar hi ki, aik Shakal tha.

Us Roz Mery Sar raha, Barish ka Imtahan,
Chahat ka Sabaq, Phir Meri Aankhon me Naqal tha.

Kuch isliye b Shab ki Rida Orrh kr Mily,
Andhera Dil ki Roshni ka Ne'mul-Badal tha.

Bal Khaa k Khud se Nikla, Aur Baahon me Bhar gya,
Yeh Uska Mery Dekhny pr, Rad-e-Amal tha.

Saanson ka Bojh itna, k Girta Chala Gya,
Woh Khud k liye Wasl me ek Misl-e-Saqal tha.

Diye ne Dam dia, To Ajab Mo'jaza hua
Main Uski Jaan Bn gya, Jo Meri Ajal tha

Bina kahy, Ramooz-e-Badan, De k Chal dia
Daana tha LaJawaab, Mujhse Baala Aqal tha

Is se Ziyada RAZAB ab, Byaan kya kry
Wo Raaz Aaj Khol dia, Jis pe Quffal tha.
khaki G

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya