Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Q Mjhse Sub Bezar Hen Maa, Q Jeevan Talkh Ksheeda hai


PO@T RAZAB TABREZ
***IMRAN KHAKI***

Q Mjhse Sub Bezar Hen Maa, Q Jeevan Talkh Ksheeda hai
Q Tohmat Mujh pe lgti Maa, Q Chashm meri Nam Deeda hai

Q Mere Dil se Khelte hen, Sub Balak Hatt sub Peer Jwan
Q Main 1 Zinda laash hun Maa, Q Mera Badan Bureeda hai

Q Ghar ki Veerani Chal kr, Mere Sath Sadak tak Jati hai
Q Tu Sub Dekhti rehti Maa, Q Tera Naam Navida hai

Q har Pal Mujh me 1 Naee, koi Cheez se ToOt'ti rehti hai
Q Aahon ki Talwar se Maa, Ye Meri Saans Shorida hai

Q Pani ki Takrar pe ye, Mere 2no Nain Jhagrte hen
Kyu inko laaj Na aati Maa, Q inka Tilak Suwida hai

Q Patjhar ki ye Pheli Rut, Mjhe itna Pyar Jatati hai
Q ye itna iTrati Maa, Q Mera Barg ! Guzida hai

Q Mujhko le Nahi Jati, Q Mere Naam se Munkar hai
Q Mujhse Ankh Churati Maa, Q Maut ka Tan Khamida hai

Kyu Mera Zakhm Har Sawan me, kisi Neelofar sa Khilta hai
Q iski Mushk Nahi jati, Q RAZAB ka Karb Huwida hai
khakiG

1 comment:

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya