Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Tuesday 30 October 2012

Qaza se pehle, Yaar ki aDa ne Aaa lia


PO@R RAZAB TABREZ

**IMRAN KHAKI**

Qaza se pehle, Yaar ki aDa ne Aaa lia
Main Esa Mard hun, k Jisko Zan ne Kha lia

Payal bhi SoOr PhoOnkne me Taaq ho gai
ChoOri k Kaanch ne bhi Chubh k, Kuch Gunah lia

Lab ki kahun ! To ye bhi Lahab ki Misal hen
Aksar ne Gaali di Mujhe, aur Phir maZa lia

Ankhon k Zaviyon ne Zra bhi Sharm Na ki
Abru Khinche, to Nainon ne Nishan Jma lia

AyyarGi ! Sada Dili ko lOot le gai
Jhijhak ne Saans rok, Mera Dil Kma lia

Hathon se Mera lamS, Churane k Waste
Aksar Hwa se Zulf ne, Mera Pata lia

Kuch Rukh k Aatishon ne b Daman jala dia
Baki Bacha iMan, Tabasum ne Jaa lia

Meri Jabeen e Shoq se, lipat k Paon ne
Ik Dusre ko Masal k, Khud bhi Nasha lia

Badan k Sath Sath, lafZ bhi aDu rahe
Gee, Aap, Wo Ne Sara Asasa Urra lia

RAZAB ko Chorr aik Ne, Duji se ye kaha
Ab Teri Baari, Main ne to Gee bhar luBha lia.
khakiG

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya