Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Wednesday 23 January 2013

Ab aaye ho to phir wohi takrar na kerna

*=*MuLaQat*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI
+
Ab aaye ho to phir wohi takrar na kerna..!<
+
Phir zikr-e-siyasat ka ghu'naGar na kerna..!<
+
Cigret, na jalana k fiza main hy khushbu..!<
+
Barbad mere phulon ki mehkaar na kerna..!<
+
Naraz na hona meri darKhast pe herGiz..!<
+
Cofee, K liye aaj to israr na kerna..!<
+
Aao zara sarkon pe tehal len mere sathi..!<
+
Sardi to hy beshak magar inkar na kerna..!<
+
Agar chal nahi sakte ho to chalo geet hi sun len..!<
+
Per pop, suna'ne ka khataWar na kerna..!<
+
Ye raag, ye sangeet mujhe dete hain lori..!<
+
Ger sone lagon to mujhe bedar na kerna..!<
+
Khud hi mujhe ehsas hy apni ghalti ka..!<
+
Tum apni shikayat se sharam saar na kerna..!<
+
Dekho mujhe der lagta hy ghuse se tum'hare..!<
+
Tum mujh se khafa ho B to izhaar na kerna..!<
+
Jate ho? suno! car, ko aahista chalana..!<
+
Phir tez khuda k liye raftaar na kerna..!<
+
==>END<==
KHAKI.G
12: 00 am
Thr 24/01/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya