Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Wednesday 23 January 2013

Main nara-e-mastana By Wasif Ali Wasif

='="="="="="="='=
Po@t
Wasif Ali Wasif
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
Artist
Abida Parveen
'*'
Main nara-e-mastana, main shouqi-e-ya'rindana..!<
+
Main tashna kahan jaon? pee kar B kahan jana?..!<
+
Main souz-e-mohabbat hun, main aik qayamat hun..!<
+
Main ashk-e-nadamat hun, main gouhar-e-yakdana..!<
+
Main tahir-e-lahuti, main johar-e-malkuti..!<
+
Nasoot ne kab mujh ko is haal mein pehchana..!<
+
Main sham-e-farozan hun, main aatish-e-larza hun..!<
+
Main sozish-e-hijran hun, main manzil-e-parwana..!<
+
Kis yaad ka sehera hun? kis chashm ka darya hun?..!<
+
Khud toor ka jalwa hun, hy shakl qal'bhana..!<
+
Main husn-e-mujas'sim hun, main gesu-e-barham hun..!<
+
Main phool hun, shabnam hun, main jalwa-e-janana..!<
+
Main wasif-e-bismil hun, main ronaq-e-mehfil hun..!<
+
Ik toota howa dil hun, main shehar mein verana..!<
+
==>END<==
KHAKI.G
10:15 am
Thr 24/01/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya