Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Thursday 31 January 2013

Ab koi chaand mera hy na sitara yaaro.

='="="="="="="='=
._.-._.TANHAI._.-._.
='="="="="="="='=
TEXT BY
IMRAN_KHAKI
='="="="="="="='=
'*'
Ab koi chaand mera hy na sitara yaaro...!<
+
Ab kaha'n jaoun ga mein dard ka maara yaaro...!<
+
Mujh ko tufaan mein rehne ki bohat aadat hy...!<
+
Mujh ko le jao na sahil pe khudara yaro...!<
+
Dard ki raah mein tum rauz chalo ge kab tak?...!<
+
Ab B kar sakte ho tum hum se kinara yaaro...!<
+
Aag lag jati hy apno k dilo'n main jis se...!<
+
Chairhte Q ho wohi baat dobara yaaro...!<
+
Hum ne khud'dari ki tarikh raqam kar dali...!<
+
Dobate waqt kissi ko na pukara yaaro...!<
+
Raat andhere mein mere ghar ko jalaya kis ne?...!<
+
Mujh ko yeh kaam B lagta hy tumhara yaaro...!<
+
Hum na hon ge to bohat yaad karo ge hum ko...!<
+
Naam likh likh ke mitao ge hamara yaaro...!<
+
==>END<==
KHAKI.G
Thr 31/01/13

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya