Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Saturday 5 January 2013

TERI AANKHE By HABIB ULLAH SARIM

Co0lLECT BY
ALI IMRAN QADRI

Poet
HABIB ULLAH SARIM

.+"+"+"+"+"+"+"+.
*._.*.NAZAM .*._.*
"+"+"+"+"+"+"+"+
TERI AANKHE NAHI SONE DETI
.
.
.
Tuj Se Ghafil Nahi Hone Deti

Raste Mai Nahi Khone Deti

Koi Sapna Nahi Samone Deti

Teri Aankhe Nahi Sone Deti


Sehr Tak Muj Ko Jagaye Rakhti Hai

Apna Diwana Banaye Rakhti Hai

Hosh Mai Hi Nahi Aane Deti

Teri Aankhe Nahi Sone Deti


Jheel Se Ghehri Neeli Aankhe Ye

Meh Se Barr Kar Nasheli Aankhe Ye

Ye Nasha Kam Nahi Hone Deti

Teri Aankhe Nahi Sone Deti


Mere Dil Mai Ujala Karti Hai

Muj Ko Auro Se Bala Karti hai

Shola Mad.ham Nahi Hone Deti

Teri Ankhe Nahi Sone Deti


Raaz Logo Se Choopaye Sarim

Roswa Hone Se Bachaye Sarim

Raaz Dil Ka Nahi Kehne Deti

Teri Aankhe Nahi Sone Deti


Raat Bhar Tera Jagna Sarim

In Hi Aankho Ko Maangna Sarim

Rona Chahun Nahi Rone Deti

Teri Aankhe Nahi Sone Deti


And.....!!!
5/11/12
BOOK NAME
WO SONDAR AANKHEN

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya