Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Sunday 10 January 2016

Hamein peenay pilanay ka maza ab taq nahi aaya * Riyaz khair aabadi)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Riyaz Kher Abadi

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Hamein peenay pilanay ka maza ab taq nahi aaya...!<
+
K bzm-e-mei mein koi paarsa ab taq nahi aaya...!<
+
Sitam bhi lutaf ho jata hai bhoolay pan ki baton mein...!<
+
Tujhey aye jaan, andaz jfaa ab taq nahi aaya...!<
+
Gaya tha keh ke yeh qasid K ultay paon aata hon...!<
+
Kahan kam'bakht ja kar mar raha, ab taq nahi aaya...!<
+
Sitam karna, dagha karna, K waday ka wafa karna...!<
+
Batao, kya tumhe aaya hai? kya ab taq nahi aaya?...!<
+
Bata den aa gaya kya tum ko is uthti jawani mein...!<
+
Bata den kaan mein chupkay se kya ab taq nahi aaya...!<
+
Wo din aeye maray sarkar ehley bazm se poucheen...!<
+
Kahan hai kyun Riaz khush'nawa ab taq nahi aaya...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya