Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Sunday 17 January 2016

Na ganwao nawak-e-neem kash, (Faiz Ahmad Faiz)

*=*=*=*=*=*=*
PO@T
Faiz Ahmad Faiz

*=*=*=*=*=*=*
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*=*=*=*=*=*=*
+
Na ganwao nawak-e-neem kash, dil-e-reza reza ganwa diya...!<
+
Jo bache hain sang samait lo, tan-e-dagh dagh luta diya...!<
+
Mere charahgar ko naveed ho, sifh-e-dushmanan ko khabar karo...!<
+
Wo jo qarz rakhte the jaan par, wo hisab aaj chuka diya...!<
+
Karo kaj jabeen pe sar kafan, mere qatilon ko guman na ho...!<
+
Keh gharor-e-ishq ka bankpan, pas-e-marg hum ne bhula diya...!<
+
Udhar ek harf ke kashtani, yahan laakh guzar tha guftani...!<
+
Jo kaha to sun kar ura diya, jo likha to parh kar mita diya...!<
+
Jo ruke to koh-e-giran the hum, jo chaly to jaan se guzar gaye...!<
+
Reh-e-yaar hum ne qadam qadam, tujhe yaadgar bana diya...!<
+
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya