Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Friday 8 January 2016

Kaisay chupaun raaz-e-ghum, deeda-e-tar ko kaya karun (Husrat Mohani)

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
PO@T
Molana Husrat Mohani

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
TEXT BY
IMRAN KHAKI

*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.-.*.
+
Kaisay chupaun raaz-e-ghum, deeda-e-tar ko kaya karun...!<
+
Dil ki tapish ko kaya karoon, soz-e-jighar ko kaya karun...!<
+
Ghair hy garchay hum'nasheen, bazam main hy to wo naseen...!<
+
Phir mujhe le chala wahein zouq-e-nazar ko kaya karun...!<
+
Shorash-e-aashiqi kahan, aur meri sadagi kahan?...!<
+
Husan ko tary kaya kahun apni nazar ko kaya karun...!<
+
Gham ko na dil main ho guzar, wasal ki shab ho youn basar...!<
+
Sb yeh qubool hy magar, khof-e-sehar ko kaya karun...!<
+
Haal mera tha jab batar, tab na hui tumhain khaber...!<
+
Baad mary huwa asar, ab main asar ko kaya karun...!<
+
Dil ki hawas mitha to di, un ki jhalak dikha to dee...!<
+
Par yeh kaho k shoq ki bad-e-degar ko kaya karun...!<
+
HASRAT-e-naghar jo tera, koi na qadardaan mila...!<
+
Ab yeh bata K main tary, arz-e-hunar ko kaya karun...!<
+
khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya