Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Thursday 7 January 2016

Gay dinon ka suraagh le ker kahan se aaya kidhar gaya wo ( Nasir Kazami)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
POET
NASIR KAZAMI

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
TEXT BY
IMRAN KHAKI

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
♥♥
Gay dinon ka suraagh le ker kahan se aaya kidhar gaya wo...!<

Ajeeb manoos ajnabi tha mujhe to heran kar gaya wo...!<
♥♥
Khusi ki ruut ho K gham ka mausam, nazar usay dhoondti hai har dam...!<

Wo boye Gul tha K naghma jaan, mere to dil mein utar gaya wo...!<
♥♥
Wo mekaday ko jaganay wala, wo raat ki neend urane wala...!<

Na jane kya is K jee mein aayi K shaam hotay hi ghar gaya wo...!<
♥♥
Shakista pa raah mein khara hon, gay dinon ko bulaa raha hon...!<

Jo qaafla mera hum.safar pak tha, misl gird safar gaya wo...!<
♥♥
Wo jis K shanay pay haath rakh kar safar kya tu nay manzlon ka...!<

Teri gali se na jane kyun aaj sir jukaye guzar gaya wo...!<
♥♥
Bas aik moti si chhb dekha kar, bas aik meethi si dhun suna kar...!<

Sitaara shaam ban K aaya, barang khawab sehar gaya wo...!<
♥♥
Wo raat ka be nawa musafir, wo tera shayar wo tera nasir...!<

Teri gali tak to hum ne dekha, phir na jane kidhar gaya wo...!<
♥♥
Khaki.G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya