Labels

A B C D E F G H I J K L M N O P Q R S T U W Y Z

Thursday 7 January 2016

Mary hum nafs, maray hum nawa, mujhe dost ban K dagha na da( Shakeel Badauni)

♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
PO@T
Shakeel Badauni
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
TEXT BY
IMRAN KHAKI
♥♥♥♥♥♥♥♥♥♥
♥♥
Mary hum nafs, maray hum nawa, mujhe dost ban K dagha na day...!<

Mein hun dard-e-ishq se jaan bulb mujhe zindagi ki dua na day...!<
♥♥
Mein gham-e-jahan se nidhaal hun K saraapaa Hazan-o-malaal hun...!<

Jo likhay hain mere naseeb mein wo alum kisi ko khuda na day...!<
♥♥
Na yeh zindagi meri zindagi, na yeh dastan meri dastan...!<

Mein khayaal-o-vahm se daur hun, mujhe aaj koi sada na day...!<
♥♥
Maray ghar se door hain rahtin, mujhe dhundti hain museebatein...!<

Mujh khauf yeh K mara pata koi gardishon ko bta na day...!<
♥♥
Mujhe chor day mary haal par, tara kya bharosa aye charah gar...!<

Yeh tari Nawazish mukhtasir, mara dard aur barha na day...!<
♥♥
Mara azam itna buland hy K paraye shulon ka dar nahi...!<

Mujhe khauf aatish-e-gull se hai kahin yeh chaman ko jala na day...!<
♥♥
Dar-e-yaar pay barri dhoom hai, wohi aashiqon ka hajhoom hai...!<

Abhi neend aayi hai husn ko koi shore kar ke jaga na day...!<
♥♥
Maray Daagh-e-dil se hai roshni yahi roshni meri zindagi...!<

Mujhe dar hai aye maray charah gir yeh chairag too hi bhuja na day...!<
♥♥
Wo uthay hain le K khham-o-subu, arey aye shakeel kahan hai too?...!<

Tara jaam lainay ko bazm mein, koi aur haath barha nah day...!<
♥♥
Khaki♥G


M IMRAN KHAKI

No comments:

Post a Comment

apni kemati tajavez hum ko daty rahiya